Tag: tiktokpoetry (Page 8 of 8)

Nahi hai Rabta…

نہیں ہے رابطہ پھر بھی وہ صدقہ دیتی ہے

اسے پتہ ہے میں اکثر سفر میں رہتا ہوں

Nahin hai rabta phir bhi wo sadqa deti hai,

Ussey pata hai mein aksar safar mein rehta hoon…

Sameet ley wo munafa

Sameet ley wo munafa jo tera banta hai,

Idhr dhakel kasara, hisaab rehney dey…


سمیت لے وہ منافه ،جو تیرا بنتا ہے

ادھر دھکیل خسارہ ،حساب رہنے دے


Sameet ley wo munafa

kisi ney ahal-e-sitam ko aik lafz tak

Kisi ney ahal-e-sitam ko aik lafz tak na kaha,

Sabhi ney mujh sey kaha key housla rakho…


کسی نے اہل ستم کو ایک لفظ تک نہ کہا

سبھی نے مجھ سے کہا کہ حوصلہ رکھو


kisi ney ahal-e-sitam ko aik lafz tak na kaha

Terey lehjey mein

Terey lehjey mein baat karni hai,

Aaj mumkin hai ahtram na ho


تیرے لہجے میں بات کرنی ہے

آج ممکن ہے احترام نا ہو


Terey lehjey mein

Mujhey khuda sey zara

Mujhey khuda sey zara hum kalam honey do,

Tumhara zikr bhi iss ghuftagu mein aaye ga…


مجھے خدا سے ذرا ہمکلام ہونے دو

تمہارا ذکر بھِی اس گفتگو میں آئیگا


Mujhey khuda sey zara

Terey chehrey ki ziyarat

Terey chehrey ki ziyarat jo ibadat hoti,

Mein zamaney key waliyon mein Qalandar hota…


تیرے چہرے کی زیارت جو عبادت ہوتی

میں زمانے کے ولیون میں قلندر ہوتا


Terey chehrey ki ziyarat

Mujh ko paani mein utarney

Mujh ko paani mein utarney ka ishara kar key,

Jaa chuka chaand samandar sey kinara kar key,

Tajurba aik he aibrat key lye kafi tha,

Mein ney dekha he nahin ishq dobara kar key…


مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے

جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے

تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا

میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے .


Mujh ko paani mein utarney

Merey gaun mein mujhey

Merey gaun mein mujhey dekhney aya hoga,

Ser karney to kagan bhi jaa sakta tha,

Baat sun kar jo gaya hai to yahi pyar hai na,

Warna wo baat key doraan bhi jaa sakta tha


میرے گاؤں میں مجھے دیکھنے آیا ہوگا

سیر کرنے تو کاغان بھی جا سکتا تھا

بات سن کر جو گیا ہے تو یہی پیار ہے نا

ورنہ وہ بات کے دوران بھی جا سکتا تھا


Merey ghaun mein mujhey

Newer posts »