نہیں ہے رابطہ پھر بھی وہ صدقہ دیتی ہے
اسے پتہ ہے میں اکثر سفر میں رہتا ہوں
Nahin hai rabta phir bhi wo sadqa deti hai,
Ussey pata hai mein aksar safar mein rehta hoon
نہیں ہے رابطہ پھر بھی وہ صدقہ دیتی ہے
اسے پتہ ہے میں اکثر سفر میں رہتا ہوں
Nahin hai rabta phir bhi wo sadqa deti hai,
Ussey pata hai mein aksar safar mein rehta hoon
Mujhey khuda sey zara hum kalam honey do,
Tumhara zikr bhi iss ghuftagu mein aaye ga
مجھے خدا سے ذرا ہمکلام ہونے دو
تمہارا ذکر بھِی اس گفتگو میں آئیگا
Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke
مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے
Ja chuka chaand samundar se kinaara kar ke
جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے
Tajurba aik hi ibrat ke liye kaafi tha
تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا
Main ne dekha hi nahin ishq dobaara kar ke
میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے
