Tag: teatimepoetry (Page 5 of 10)

uss sey kehna saboot pukhata karey

Uss sey kehna saboot pukhata karey,

Baat ab khuda tak ja pohanchi hai…

اس سے کہنا ثبوت پختہ کرے

بات اب خدا تک جا پوہنچی ہے

mein ney uss ko itna dekha

Mein ney uss ko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha,

Lekin phir bhi do ankhon sey, kitna dekha ja sakta tha…

میں نے اس کو اتنا دیکھا ، جتنا دیکھا جا سکتا تھا

لیکن پھر بھی دو آنکھوں سے ، کتنا دیکھا جا سکتا تھا

Aye hasil-e- khulos bata kiya jawab dun…

Aye hasil-e- khulos bata kiya jawab dun,

Duniya ye pochti hai key mein kyun udas hun…

اے حاصل خلوص بتا کیا جواب دوں

دنیا یہ پوچھتی ہے کہ میں کیوں اداس ہوں

Qalam likh nahin sakta hai,preshan dil key afsaney…

Qalam likh nahin sakta hai, preshan dil key afsaney,

Hamarey sath jo bhi hota hai, bus acha nahin hota…

قلم لکھ نہیں سکتا ہے پریشان دل کے افسانے

ہمارے ساتھ جو بھی ہوتا ہے بس اچھا نہیں ہوتا

usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat…

Usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat,

usey tarsa key rakh diya mein ney sanjeeda ho kar…

اسے بھاتی نہیں تھی میری شرارتی طبیعت

اسے ترسا کے رکھ دیا میں نے سنجیدہ ہو کر

Aaj chup hain wo bolti ankhein..

Aaj chup hain wo bolti ankhein,

Baat dil par koyi lagi hogi…

آج چپ ہیں وہ بولتی آنکھیں

بات دل پر کوئی لگی ہوگی

Ajeeb khabar hai..

Ajeeb khabar hai, sahab suno gey?

Tabib-e-ishq , ishq sey mar gaya…

عجیب خبر ہے ، صاحب سنو گے ؟

طبیب عشق ، عشق سے مر گیا

Log shamil they our bhi lekin..

Log shamil they our bhi lekin,

Dil teri koshishon sey toota hai…

لوگ شامل تھے اور بھی لیکن

دل تیری کوششوں سے ٹوٹا ہے

Mein bolti hoon to mujh pey ilzam hai

Mein bolti hoon to mujh pey ilzam hai baghawat ka,

Mein chup rahun to badhi be basi si hoti hai…

میں بولتی ہوں تو مجھ پہ الزام ہے بغاوت کا

میں چپ رہوں تو بڑی بے بسی سی ہوتی ہے

Aaj bhi khud ka intizar kiya…

Aaj bhi khud ka intizar kiya,

Jaaney kis dil mein reh gaya hoon mein…

آج بھی خود کا انتظار کیا

جانے کس دل میں رہ گیا ہوں میں

« Older posts Newer posts »