Home » urdushayiri » Page 6
Ye sharat-e-ulfat bhi ajab hai Muhsin, Mein pora utarta hoon,wo mayar badal detey hain…
Daleel na thi na koi hawala tha un key paas, Ajeeb log they bus ikhtilaf rakhtey they…
Phir yun huya key,ek dosrey ko taktey rahey der tak, Wo andazey bayan sey qasir , mein lafzey ibtida sey aajiz…
Shayiri likh raha tha gareebi par, Qalam he farokht karna para akhir…
Hum madina mizaaj logon ki, Zindagi katt rahi hai kufey mein…
Tumhara to bus hawaon pe shaq gaya hoga, Charagh khud bhi to jal jal ke thak gaya hoga…
Mera kirdaar na tha,meri kahani mein koi, Beth kar door sey,bus apna tamasha dekha…
Onchi imaraton mein chup gaya makan mera, Kch log merey hissey ka suraj bhi laye gaye…
Laga kar aagh shehr ko ye badshah ney kaha, Otha hai dil mein tamashey ka aaj shoq bhut, Jhuka key sar ko sabhi shah parsat…