Tag: tiktokpoetry (Page 6 of 8)

Thak gaya hoon mein

Kesey keh dun ke thaak gaya hoon mein,

Jaaney kis kis ka hosla hoon mein…


کیسے کہہ دوں کہ تھک گیا ہوں میں

جانے کس کس کا حوصلہ ہوں میں


Thak gaya hoon mein

Meri majbooriyan..

Koi shikwa nahin tum sey,agar ho bhi to kya hasil,

Wahi raasmi saa jumla,meeri majbooriyan samjho…


کوئی شکوہ نہیں تم سے ، اگر ہو بھی تو کیا حاصل 

وہی رسمی سا ایک جملہ ، میری مجبوریاں سمجھو


Meri majbooriyan..

Onchi imaraton mein chup gaya

Onchi imaraton mein chup gaya makan mera,

Kch log merey hissey ka suraj bhi laye gaye…


اونچی عمارتوں میں چھپ گیا مکان میرا

کچھ لوگ میرے حصّے کا سورج بھی لیے گئے


Onchi imaraton mein chup gaya

Laga kar aagh shehr ko

Laga kar aagh shehr ko ye badshah ney kaha,

Otha hai dil mein tamashey ka aaj shoq bhut,

Jhuka key sar ko sabhi shah parsat bol othey,

Huzor ka shoq salamat rahey,shehr our bhi bhut…


لگا کر آگ شہر کو یہ بادشاہ نے کہا

اٹھا ہے دل میں تماشے کا آج شوق بہت

جھکا کے سر کو سبھی شاہ پرست بول اٹھے

حضور کا شوق سلامت رہے ،شہر اور بہت


Laga kar aagh shehr ko....

Merey qalb ko bhi

Merey qalb ko bhi naseeb hoon teri zaat sey wahi nisbatein,

Wo jo azmatein thein owais ki,wo jo raabtey they bilaal…


میرے قلب کو بھی نصیب ہوں تیری  ذات سے وہی نسبتیں

وہ جو عظمتیں تھیں اویس کی ، وہ جو رابطے تھے بلال کے


Merey qalb ko bhi

Mein ney seekha hai

Mein ney seekha hai,riyaazi key aasolon sey,

Jo na mumkin ho ussey farz kar liya jaye…


میں نے سیکھا ہے ، ریاضی کے اصولوں سے

جو ناممکن ہو اسے فرض کر لیا جاۓ


Mein ney seekha hai

Charagh-e-mehfil ban

Charagh-e-mehfil ban,charagh-e-rahguzar na ban,

Aik yusif ka intekhab kar,har aik ki zulekha na ban…


چراغ محفل بن ،چراغ رہگزر نہ بن

ایک یوسف کا انتخاب کر ،ہر ایک کی زلیخہ نہ بن


selective focus photography of woman lying on flowers

Tumhara janaza to nahi hai…

Kursi hai,tumhara janaza to nahin hai,

Kch kar nahin saktey to utar kyun nahin jaatey…


کرسی ہے ،تمہارا جنازہ تو نہیں ہے

کچھ کر نہیں سکتے تو اتر کیوں نہیں جاتے


Tumhara janaza

Dekh rafta rafta

Dekh rafta rafta ,nikal hi gaye na akhir,

Misir sey yusif, janat sey aadam, our terey dil sey hum…


دیکھ رفتہ رفتہ ،نکل ہی گئے نا آخر

مصر سے یوسف ،جنت سے آدم ،اور تیرے دل سے ہم


Dekh rafta rafta

Smajh jaati hoon

Samjh jaati hoon chalon ko magar kch der lagti hai,

Wo baazi jeet jaatey hain, merey chalak honey tak


سمجھ جاتی ہوں چالوں کو مگر کچھ دیر لگتی ہے

وہ بازی جیت جاتے ہیں ،میرے چالاک ہونے تک


Smajh jaati hoon

« Older posts Newer posts »