Home » tiktokpoetry » Page 2
Ilzam-e-awargi key dar sey chor diya shehr apna, Warna ye choti si umer ,pardes key Qabil to na thi…
Ye alag baat hai sunni gayi teri, Warna khuda to mera bhi wahi tha…
Umar bhar hum yun he ghalati kartey rahey Ghalib, Dhool chehrey pe thi our hum aaeina saaf kartey rahey…
Ye duniya matlab ki hai,tum kis mukhlis ki baat kartey ho Ghalib, Log janaza parhney aatey hain,wo bhi sawab ki khatir…
Tehzeeb ki misal gareebon key ghar pey hai, Dopata phata huya hai,par un key sar pey hai..
Saleeqa tum ney pardey ka bara anmol rakha hai, Yahi nighaein qatil hain,our inhein he khol rakha hai…
Gurbat na dey saki merey zameer ko shikast, Jhuk kar kisi ameer sey milta nahin hoon mein…
Kya haal pochtey ho merey karobar ka, Aaeiney bechta hoon,andhon key shehr mein..
Ilahi aabru rakhna,bara nazuk zamana hai, Dilon mein kufr rakhtey hain, bazahir dostana hai…
Kitna dushwaar hai,fitrat ka badalna yusif, Log kaba gaye ,our dil sey burai na gayi…