Home » teatimepoetry » Page 6
Wo samney tha magar uss ko nigha chu na saki, Ye ahtram ki had thi ,ya hosley ka kamal tha…
Hum muzafat sey aaye huye logon ka miyan, Mas’ala rizq ka hota hai,muhabat ka nahin…
Bedad-e-ishq sey nahin darta magar ASAD, Jis dil pey naaz tha wo dil nahin raha…
Tu ney dekhi hi nahin, Meri roonaqon ki weeraniyan…
Kuch hum bhi terey mayar pey porey nahin utrey, Kuch tu bhi ke mashahoor tha jesa, nahin nikla
Kabhi chaand us ney kaha mujhey, Kabhi asmaan sey gira diya…
Zindagi bhar key imtehan key bad, Wo natijey mein kisi our ka nikla…
Kisi tarha ki ghalat fehmiyan na paliye ga, Mein aadatan bhi muhabat sey pesh aata hoon…
Sab jurm meri zaat sey mansoob hain Muhsin, Kya merey siwa shehr mein masoom hain sarey…
Mujhey ak gali mein para hua kisi badnaseeb ka khat mila, Kahin khoon-e-dil sey likha hua kahin anso’un sey mita hua …