Home » teatimepoetry » Page 4
Dobna hi parta hai ubharne se pehle Ghroob hone ka matlab zawal nahi hota…
Itna metha tha wo gusey bhara lehja mat poch, Us ney jis jis ko bhi janey ka kaha beth gaya…
Ankhon mein paani liye mujhey ghoorta hi raha, Wo aaieney mein khara shakhs pareshan bhut tha…
Yaqeen jano, mein un qadiyon mein sey hoon, Jo khuley darwazey dekh kar farar nahin hotey…
Junoon hota hai,har umer mein juda juda, Khiloney, ishq, paisa or phir khuda khuda…
Uss sey kehna saboot pukhata karey, Baat ab khuda tak ja pohanchi hai…
Mein ney uss ko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha, Lekin phir bhi do ankhon sey, kitna dekha ja sakta tha…
Aye hasil-e- khulos bata kiya jawab dun, Duniya ye pochti hai key mein kyun udas hun…
Qalam likh nahin sakta hai, preshan dil key afsaney, Hamarey sath jo bhi hota hai, bus acha nahin hota…
Usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat, usey tarsa key rakh diya mein ney sanjeeda ho kar…