Tag: teatimepoetry (Page 3 of 10)

Hazar chehrey hujoom-e-dunia

Hazar chehrey,hujoom-e-dunia,

Na jaaney teri talash kyun hai…


ہزار چہرے ، ہوجم دنیا

نہ جانے تیری تلاش کیوں ہے


Hazar chehrey hujoom-e-dunia

dil ki itni haseen ke kisi ka bhi yaqeen

Dil ki itni haseen ke kisi ka bhi yaqeen kar lon,

Dmag itna kharab ke apni bhi nahin sunti…


دل کی اتنی حسین کہ کسی کا بھی یقین کر لوں

دماغ اتنا خراب کہ اپنی بھی نہیں سنتی


dil ki itni haseen ke kisi ka bhi yaqeen

kal thake hare parindon ne nasihat ki

Kal thake hare parindon ne nasihat ki mujhe,

Shaam dhal jaye to kashi tum bhi ghar jaya karo…


کل تھکے ہارے پرندوں نے نصیحت کی مجھے

شام ڈھل جائے تو کاشی تم بھی گھر جایا کرو


kal thake hare parindon ne nasihat ki mujhe

Bus zara chaiye peene se fursat nahin

Bus zara chaiye peene se fursat nahin mili,

Warna kar ke btata muhbat kese kehte hain


بس ذرا چائے پینے سے فرصت نہیں ملی

ورنہ کر کے بتاتا محبت کیسے کہتے ہیں


Bus zara chaiye peene se fursat nahin mili

Mujh ko pana hai to mujh mein utar

Mujh ko pana hai to mujh mein utar kar dekho,

Yun kinaron sey samandar ko dekha nahin jata…


مجھ کو پانا ہے تو مجھ میں اتر کر دیکھو

یوں کناروں سے سمندر کو دیکھا نہیں جاتا


Mujh ko pana hai to mujh mein utar kar dekho

Teri rehmaton pe hai, munkhasir merey

Teri rehmaton pe hai,munkhasir merey har amal ki qabooliat,

Na mujhey saliqa-e-ilteja na mujhey shahoor-e-nimaz hai…


تیری رحمتوں پہ ہے منخصر، میرے ہر عمل کی قبولیت

نہ مجھے سلیقہ ہ التجا نہ مجھے شہور نماز ہے


Teri rehmaton pe hai, munkhasir merey har amal ki Qabooliat...

Roti hui ankhon ki rawani mein mare hain

Roti hui ankhon ki rawani mein merey hain,

Kuch khuwab merey aien jawani mein merey hain…


روتی ہوئی آنکھوں کی روانی میں مرے ہیں

کچھ خواب میرے عین جوانی میں مرے ہیں


Roti hui ankhon ki rawani mein mare hain

Sabhi gharhiyun mein yaksan nuqs kesey

Sabhi gharhiyun mein yaksan nuqs kesey,

Yakenan waqat hi thehra hua hai…


سبھی گھڑیوں میں یکساں نقص کیسے

یقینن وقت ہی ٹہرا ہوا ہے


Sabhi gharhiyun mein yaksan nuqs kesey

Ye sach hai key aqal ney mujh ko pukhtagi

Ye sach hai key aqal ney mujh ko pukhtagi to di,

Par wo maza kahan jo nadaniyun mein tha…


یہ سچ ہے کہ عقل نے مجھ کو پختگی تو دی

پر وہ مزہ کہاں جو نادانیوں میں تھا


Ye sach hai key aqal ney mujh ko pukhtagi

Aik taluq mazeed hai apna

Aik taluq mazeed hai apna,

Tera murshid mureed hai apna…


اک تعلق مزید ہے اپنا

تیرا مرشد مرید ہے اپنا


Aik taluq mazeed hai apna

« Older posts Newer posts »