Tag: teatimepoetry (Page 2 of 10)

Itna metha tha wo gusey bhara lehja mat poch

Itna metha tha wo gusey bhara lehja mat poch,

Us ney jis jis ko bhi janey ka kaha beth gaya…

اتنا میٹھا تھا وہ غصے بھرا لہجہ مت پوچھ

اس نے جس جس کو بھی جانے کا کہا بیٹھ گیا

Ankhon mein paani liye mujhey ghoorta hi raha

Ankhon mein paani liye mujhey ghoorta hi raha,

Wo aaieney mein khara shakhs pareshan bhut tha…

آنکھوں میں پانی لیے مجھے گھورتا ہی رہا

وہ آئینے میں کھڑا شخص پریشان بہت تھا

Yaqeen jano, mein un qadiyon mein sey hoon

Yaqeen jano, mein un qadiyon mein sey hoon,

Jo khuley darwazey dekh kar farar nahin hotey…

یقین جانو ،میں ان قیدیوں میں سے ہوں

جو کھلے دروازے دیکھ کر فرار نہیں ہوتے

Junoon hota hai,har umer mein juda juda

Junoon hota hai,har umer mein juda juda,

Khiloney, ishq, paisa or phir khuda khuda…

جنون ہوتا ہے ہر عمر میں جدا جدا

کھلونے ،عشق ،پیسہ اور پھر خدا خدا

uss sey kehna saboot pukhata karey

Uss sey kehna saboot pukhata karey,

Baat ab khuda tak ja pohanchi hai…

اس سے کہنا ثبوت پختہ کرے

بات اب خدا تک جا پوہنچی ہے

mein ney uss ko itna dekha

Mein ney uss ko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha,

Lekin phir bhi do ankhon sey, kitna dekha ja sakta tha…

میں نے اس کو اتنا دیکھا ، جتنا دیکھا جا سکتا تھا

لیکن پھر بھی دو آنکھوں سے ، کتنا دیکھا جا سکتا تھا

Aye hasil-e- khulos bata kiya jawab dun…

Aye hasil-e- khulos bata kiya jawab dun,

Duniya ye pochti hai key mein kyun udas hun…

اے حاصل خلوص بتا کیا جواب دوں

دنیا یہ پوچھتی ہے کہ میں کیوں اداس ہوں

Qalam likh nahin sakta hai,preshan dil key afsaney…

Qalam likh nahin sakta hai, preshan dil key afsaney,

Hamarey sath jo bhi hota hai, bus acha nahin hota…

قلم لکھ نہیں سکتا ہے پریشان دل کے افسانے

ہمارے ساتھ جو بھی ہوتا ہے بس اچھا نہیں ہوتا

usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat…

Usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat,

usey tarsa key rakh diya mein ney sanjeeda ho kar…

اسے بھاتی نہیں تھی میری شرارتی طبیعت

اسے ترسا کے رکھ دیا میں نے سنجیدہ ہو کر

Aaj chup hain wo bolti ankhein..

Aaj chup hain wo bolti ankhein,

Baat dil par koyi lagi hogi…

آج چپ ہیں وہ بولتی آنکھیں

بات دل پر کوئی لگی ہوگی

« Older posts Newer posts »