Tag: poetrycollection (Page 30 of 31)

Mansub thay jo log meri zindagi ke saath

Mansub thay jo log meri zindagi ke saath
منسوب تھے جو لوگ میری زندگی کے ساتھ

Aksar wahi mile hain badi berukhi ke saath
اکثر وہی ملے ہیں بڑی بےرخی کے ساتھ

Yoon to main hans pada hoon tumhare liye magar
یوں تو میں ہنس پڑا ہوں تمہارے لئے مگر

Kitne sitare toot pare ek hansi ke saath
کتنے ستارے ٹوٹ پڑے اک ہنسی کے ساتھ

Fursat mile to apna gareban bhi dekh le
فرصت ملے تو اپنا گریبان بھی دیکھ لے

Ae dost yoon na kheyl meri bebasi ke saath
اے دوست یوں نہ کھیل میری بے بسی کے ساتھ

Majbooriyon ki baat chali hai to hum kahan
مجبوریوں کی بات چلی ہے تو ہم کہاں

Hum ne piya hai zehar bhi aksar khushi ke saath
ہم نے پیا ہے زہر بھی اکثر خوشی کے ساتھ

Chehray badal badal ke mujhe mil rahe hain log
چہرے بدل بدل کے مجھے مل رہے ہیں لوگ

Itna bura sulook meri saadgi ke saath
اتنا برا سلوک میری سادگی کے ساتھ

Ek sajda khuloos ki qeemat faza-e-khuld
اک سجدہ خلوص کی قیمت فضائے خلد

Ya Rab na kar mazaaq meri bandagi ke saath
یا رب نہ کر مذاق میری بندگی کے ساتھ

Mohsin karam bhi ho jis mein khuloos bhi
محسن کرم بھی ہو جس میں خلوص بھی

Mujh ko ghazab ka pyaar hai is dushmani ke saath
مجھ کو غضب کا پیار ہے اس دشمنی کے ساتھ


Tu Humein un Dino Mein Kyun Na Mila

تُو ہمیں ان دنوں میں کیوں نہ ملا
Tu humein un dino mein kyun na mila

جب ہمیں شوق تھے سنورنے کے
Jab humein shauq thay sanwarnay ke

ہم نے جینے کی عمر میں صاحب
Hum ne jeenay ki umr mein sahab

پال رکھے ہیں شوق مرنے کے۔
Paal rakhe hain shauq marne ke


Parkhna mat, parakhne mein koi apna nahin rehta

Parkhna mat, parakhne mein koi apna nahin rehta


پرکھنا مت، پرکھنے میں کوئی اپنا نہیں رہتا

Kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rehta


کسی بھی آئینے میں دیر تک چہرہ نہیں رہتا


Baday logon se milne mein hamesha faasla rakhna


بڑے لوگوں سے ملنے میں ہمیشہ فاصلہ رکھنا

Jahan darya samundar se mila, darya nahin rehta


جہاں دریا سمندر سے ملا، دریا نہیں رہتا

بشیر بدر


Parkhna mat, parakhne mein koi apna nahin rehta
Parkhna mat, parakhne mein koi apna nahin rehta

Ek main hoon jise koi jaldi nahin warna

Ek main hoon jise koi jaldi nahin warna


ایک میں ہوں جسے کوئی جلدی نہیں ورنہ

Shaam ka waqt hai, har shakhs ko ghar jana hai


شام کا وقت ہے، ہر شخص کو گھر جانا ہے


Ek main hoon jise koi jaldi nahin warna
Ek main hoon jise koi jaldi nahin warna

Hum tere baad gire khasta makanon ki tarah

Hum tere baad gire khasta makanon ki tarah


ہم تیرے بعد گرے خستہ مکانوں کی طرح

Kahin khidki, kahin kundi, kahin dar chhor gaye


کہیں کھڑکی، کہیں کنڈی، کہیں در چھوڑ گئے


Hum tere baad gire khasta makanon ki tarah
Hum tere baad gire khasta makanon ki tarah

« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑