Home » poetrycollection » Page 19
Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti
جدائی میرا تو نقصان کر نہیں سکتی
Hamare paas to kuch bhi nahi hai khone ko
ہمارے پاس تو کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو
Main chahta bhi yahi tha ke tu chala jaye
میں چاہتا بھی یہی تھا کہ تُو چلا جائے
Main chahta tha mile kuch mujhe bhi rone ko
میں چاہتا تھا ملے کچھ مجھے بھی رونے کو
Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti
Muqaddar ki zanjeer se bandhe hum bebas log
مقدر کی زنجیر سے بندھے ہم بے بس لوگ
Umar guzar dete hain mo’jzon ke intezar mein
عمر گزار دیتے ہیں معجزوں کے انتظار میں
Muqaddar ki zanjeer se bandhe hum bebas log
Juda huay hain bohat log, aik tum bhi sahi
جدا ہوئے ہیں بہت لوگ، ایک تم بھی سہی
Ab itni si baat pe kya zindagi kharab karein
اب اتنی سی بات پہ کیا زندگی خراب کریں
Juda huay hain bohat log, aik tum bhi sahi
Woh bhi apne na huay, dil bhi gaya haathon se
وہ بھی اپنے نہ ہوئے، دل بھی گیا ہاتھوں سے
Aisay aane se to behtar tha na aana un ka
ایسے آنے سے تو بہتر تھا نہ آنا ان کا
Woh bhi apne na huay, dil bhi gaya haathon se
Shaamil hoon khel mein teri tafreeh ke liye
شامل ہوں کھیل میں تیری تفریح کیلئے
Baazi to kitni der se haara hua hoon main
بازی تو کتنی دیر سے ہارا ہوا ہوں میں
Shaamil hoon khel mein teri tafreeh ke liye
Halaat bure the magar rakhti thi nawab bana kar
حالات بُرے تھے مگر رکھتی تھی نواب بنا کر
Hum ghareeb the yeh sirf meri maan jaanti thi
ہم غریب تھے یہ صرف میری ماں جانتی تھی
Mere gaon mein mujhe dekhne aaya hoga
میرے گاؤں میں مجھے دیکھنے آیا ہوگا
Sair karne to Kaghan bhi ja sakta tha
سیر کرنے تو کاغان بھی جا سکتا تھا
Baat sun kar jo gaya hai to yahi pyaar hai na
بات سن کر جو گیا ہے تو یہی پیار ہے نا
Warna woh baat ke dauraan bhi ja sakta tha
ورنہ وہ بات کے دوران بھی جا سکتا تھا
Mere gaon mein mujhe dekhne aaya hoga
Sheher waale jhoot par rakhte hain bunyaad-e-khuloos
شہر والے جھوٹ پر رکھتے ہیں بنیادِ خلوص
Mujhko pachtana pada Mohsin yahaan sach bol kar
مجھ کو پچھتانا پڑا محسن یہاں سچ بول کر
Sheher waale jhoot par rakhte hain bunyaad-e-khuloos
Woh shakhs ab mere ahbaab mein nahin shaamil
وہ شخص اب میرے احباب میں نہیں شامل
Meri shikayatein us shakhs se kare na koi
مری شکایتیں اُس شخص سے کرے نہ کوئی
Taluqaat ko bas is maqam tak rakhiye
تعلقات کو بس اس مقام تک رکھیئے
Kisi ko chhorna pad jaaye to mare na koi
کسی کو چھوڑنا پڑ جائے تو مرے نہ کوئی
Woh shakhs ab mere ahbaab mein nahin shaamil
Zindagi, kuch to bharam tu mere ahbaab ka rakh
زندگی، کچھ تو بھرم تُو مِیرے احباب کا رکھ
Saare chehre tu mere saamne uryaan na kar
سارے چہرے تو مِیرے سامنے عریاں نہ کر
Zindagi, kuch to bharam tu mere ahbaab ka rakh