Tag: poetrycollection (Page 18 of 24)

Falak mein aagh lag jaati…

فلک میں آگ لگ جاتی ،جو دونوں روبروں ہوتے

غروب شمس لازم تھا ،طلوح چاند سے پہلے

Falak mein aagh lag jaati,jo dono robaron hotey,

Ghurub-e-shams lazim tha,tuluh-e-chaand sey pehle…

Tareekh hazaroon salon mein…

تاریخ ہزاروں سالوں میں بس اتنی سی بدلی ہے

تب دور تھا پتھر کا اب لوگ ہیں پتھر کے

Tareekh hazaroon saloon mein bus itni si badali hai,

Tab dour tha pathar ka aab log hain pathar key….

Ilzam-e-awargi…

الزام آوارگی کے ڈر سے چھوڑ دیا شہر اپنا

ورنہ یہ چھوٹی سی عمر،پردیس کے قابل تو نہ تھی

Ilzam-e-awargi key dar sey chor diya shehr apna,

Warna ye choti si umer ,pardes key Qabil to na thi…

Raabtey bhi rakhta hoon..

رابطے بھی رکھتا ہوں ،راستے بھی رکھتا ہوں

لوگوں سے بھی ملتا ہوں ، فاصلے بھی رکھتا ہوں

Raabtey bhi rakhta hoon,raastey bhi rakhta hoon,

Logon sey bhi milta hoon,fasiley bhi rakhta hoon…

Yaroon ki hujatein…

یاروں کی حجتیں ہوں کہ غیروں کی تہمتیں

جس رنگ میں رہا ہوں نمایاں رہا ہوں میں

Yaroon ki hujatein hoon key geroon ki tuhmatein,

Jis rang mein raha hoon numaya raha hoon mein…

Chaman mein our bhi…

چمن میں اور بھی ہیں گھونسلے پرندوں کے

میرے ہی پیچھے کیوں بجلیاں لگی ہوئی ہیں

Chaman mein our bhi hain ghonseley parindon key,

Merey hi pechey kyun bijliyan lagi hui hain…

Ye sharat-e-ulfat

Ye sharat-e-ulfat bhi ajab hai Muhsin,

Mein pora utarta hoon,wo mayar badal detey hain…


یہ شرط الفت بھی عجب ہے محسن

میں پورا اترتا ہوں وہ معیار بدل دیتے ہیں


industry technology music computer

phir yun huya…

پھر  یوں ہوا  کہ ایک دوسرے کو تکتے رہے دیر تک

 وہ اندازے بیان سے قاصر ، میں لفظے  ابتدا سے عاجز 

Phir yun huya key,ek dosrey ko taktey rahey der tak,

Wo andazey bayan sey qasir , mein lafzey ibtida sey aajiz…

« Older posts Newer posts »

© 2025 EAGLE SITE

Theme by Anders NorenUp ↑