Category: Urdu poetry (Page 48 of 54)

Urdu poetry collection

Bhool jana tumhe…

بھول جانا تمہیں مشکل تو نہیں ہے لیکن

کام آسان بھی مگر ہم سے کہاں ہوتے ہیں

Bhool jana tumhe mushkil to nahin hai lekin,

Kam aasan bhi magar hum sey kahan hota hai…

Ab key toota hai

Ab key toota hai to kuch chain sey betha hai zara,

Warna is dil ney dekhaney they tamashey kya kya…


اب کے ٹوٹا ہے تو کچھ چین سے بیٹھا ہے ذرا

ورنہ اس دل نے دکھانے تھے تماشے کیا کیا


Ab key toota hai

Qasid key atey atey

Qasid key aatey aatey khat aik our likh rakhon,

Mein jaanta hoon jo wo likhein gein jawab mein…


قاصد کے آتے آتے خط ایک اور لکھ رکھوں

میں جانتا ہوں جو وہ لکھیں گے جواب میں


Qasid key atey atey

Mera sedha sadha mizaaj tha

Mera sedha sadha mizaaj tha,mujhey ishq honey ki kya khabar,

Tera aik nazar wo dekhna merey sarey shoq badal gaya…


میرا سیدھا سادھ مزاج تھا ،مجھے عشق ہونے کی کیا خبر

تیرا ایک نظر وہ دیکھنا میرے سارے شوق بدل گیا


Mera sedha sadha mizaaj tha

Tujh ko dekha

Tujh ko dekha phir uss ko na dekha,

Chaand kehta he raha,mein chaand hoon,mein chaand hoon…


تجھ کو دیکھا پھر اس کو نہ دیکھا

چاند کہتا ہی رہا ,میں چاند ہوں, میں چاند ہوں


Tujh ko dekha

Mein behjta rehta hoon

Mein behjta rehta hoon,ussey khaali lefafey,

Wo shakhs kahin mera pata na bhool jaye…


میں بھجتا رہتا ہوں اسے خالی لفافے

وہ شخص کہیں میرا پتا نہ بھول جائے


wood desk notebook table

Such kaha tha

Such kaha tha merey ustaad ney bhut nalaiq hoon mein,

Pori raat guzar jaati hai aik he shakhs ko yaad kartey kartey…


سچ کہا تھا میرے استاد نے بہت نالائق ہوں میں

پوری رات گزر جاتی ہے ایک ہی شخص کو یاد کرتے کرتے


Such kaha tha

Tanha raaton mein

Tanha raaton mein yahi hai mashgala apna,

Laga key taik takiye sey ussey bus sochtey rehna…


تنہا راتوں میں یہی ہے مشغلہ اپنا

لگا کے ٹیک تکیے سے اسے بس سوچتے رہنا


Tanha raaton mein

« Older posts Newer posts »