Skip to content

Category: Poetry

Urdu poetry collection

Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool

Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool
کچھ تم کو بھی عزیز ہیں اپنے سبھی اصول

Kuch hum bhi ittifaq se zid ke mareez hain
کچھ ہم بھی اتفاق سے ضد کے مریض ہیں


Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool
Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool

Ek zarurat teri dehleez pe le aayi hai

Ek zarurat teri dehleez pe le aayi hai
اک ضرورت تیری دہلیز پہ لے آئی ہے

Waqt aaya hai yeh kaisa meri khuddari par
وقت آیا ہے یہ کیسا میری خوداری پر


Ek zarurat teri dehleez pe le aayi hai
Ek zarurat teri dehleez pe le aayi hai

Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen

Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen
میں چھوڑ کر انہی راہ تکتی اداس آنکھیں

Jo bach gaye the woh khwab le kar chala gaya
جو بچ گئے تھے وہ خواب لے کر چلا گیا

Jis par main ne mohabbatوں ki wahi likhi thi
جس پر میں نے محبتوں کی وحی لکھی تھی

Woh ek mamnoo kitaab le kar chala gaya
وہ ایک ممنوع کتاب لے کر چلا گیا

Bas ek ajal ko suna gaya hoon jo daastan thi
بس ایک اجل کو سنا گیا ہوں جو داستاں تھی

Main zindagi se hisaab le kar chala gaya
میں زندگی سے حساب لے کر چلا گیا

Main qafilon ko dekha gaya nishaan-e-manzar
میں قافلوں کو دیکھا گیا نشانِ منظر

Main raaston ke saraab le kar chala gaya
میں راستوں کے سراب لے کر چلا گیا

Unhein kaho main dhoondhne se nahi miloonga
انہیں کہو میں ڈھونڈنے سے نہیں ملوں گا

Main gard-e-raah ki khaak le kar chala gaya
میں گردِ راہ کی خاک لے کر چلا گیا


Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen
Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen

Alaawa mere har ik shakhs noor nikle ga

Alaawa mere har ik shakhs noor nikle ga
علاوہ میرے ہر اک شخص نور نکلے گا

Main jaanta hoon mera hi qasoor nikle ga
میں جانتا ہوں مرا ہی قصور نکلے گا

Yeh khoob hum se zamaane ne zid lagai hai
یہ خوب ہم سے زمانے نے ضد لگائی ہے

Hua na mera jo us ka zaroor nikle ga
ہوا نہ میرا جو اس کا ضرور نکلے گا

Khabar mujhe thi yeh rasta nahin hai manzil ka
خبر مجھے تھی یہ رستہ نہیں ہے منزل کا

Gumaan kab tha ke khud se bhi door nikle ga
گمان کب تھا کہ خود سے بھی دور نکلے گا

Hai rahzanon se riayat yeh khaas munsif ki
ہے رہزنوں سے رعایت یہ خاص منصف کی

Ke qafilon ka hi lut kar qasoor nikle ga
کہ قافلوں کا ہی لٹ کر قصور نکلے گا

Isi umeed pe ab aur kitni umrien jeeyun
اسی امید پہ اب اور کتنی عمریں جیوں

Ke jeena laaziman ek din suroor nikle ga
کہ جینا لازماً اک دن سرور نکلے گا

Ilaaj dhoonda to dhoonda ajab tabeebon ne
علاج ڈھونڈا تو ڈھونڈا عجب طبیبوں نے

Yeh jaan nikle to dil ka futoor nikle ga
یہ جان نکلے تو دل کا فتور نکلے گا

Hazaar badlo magar aainon ke bas mein nahin
ہزار بدلو مگر آئینوں کے بس میں نہیں

Yeh aks mera yunhi choor choor nikle ga
یہ عکس میرا یونہی چُور چُور نکلے گا

Nasha hai aarzi abrak yeh chaahay janay ka
نشہ ہے عارضی ابرک یہ چاہے جانے کا

Tumhaare dil se bhi jaldi ghuroor nikle ga
تمہارے دل سے بھی جلدی غرور نکلے گا


Alaawa mere har ik shakhs
Alaawa mere har ik shakhs

Door charkhi patang sab kuch tha

Door, charkhi, patang sab kuch tha
ڈور، چرخی، پتنگ سب کچھ تھا

Us ke ghar ki taraf hawa na chali
اس کے گھر کی طرف ہوا نہ چلی


Door charkhi patang sab kuch tha
Door charkhi patang sab kuch tha

Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai

Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai
یہ طلوعِ روزِ ملال ہے

So gila bhi kis se karein ge hum
سو گلہ بھی کس سے کریں گے ہم

Koi dilruba, koi dil-shikan
کوئی دلرُبا، کوئی دل شِکن

Koi dil-figaar kahan raha
کوئی دل فِگار کہاں رہا


Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai
Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai

Marahil-e-shauq ke dushwaar hua karte hain

Marahil-e-shauq ke dushwaar hua karte hain
مرحلے شوق کے دُشوار ہُوا کرتے ہیں
Saaye bhi raah ki deewaar hua karte hain
سائے بھی راہ کی دیوار ہُوا کرتے ہیں
Woh jo sach bolte rehne ki qasam khaate hain
وہ جو سچ بولتے رہنے کی قسم کھاتے ہیں
Woh adalat mein gunahgaar hua karte hain
وہ عدالت میں گُنہگار ہُوا کرتے ہیں
Sirf haathon ko na dekho kabhi aankhein bhi paro
صرف ہاتھوں کو نہ دیکھو کبھی آنکھیں بھی پڑھو
Kuch sawaali bade khuddaar hua karte hain
کچھ سوالی بڑے خودار ہُوا کرتے ہیں
Woh jo pathar yunhi raste mein paday rehte hain
وہ جو پتھر یونہی رستے میں پڑے رہتے ہیں
Un ke seene mein bhi shahkaar hua karte hain
اُن کے سینے میں بھی شہکار ہُوا کرتے ہیں
Subah ki pehli kiran jin ko rula deti hai
صبح کی پہلی کرن جن کو رُلا دیتی ہے
Woh sitaaron ke azaadaar hua karte hain
وہ ستاروں کے عزادار ہُوا کرتے ہیں
Jin ki aankhon mein sada pyaas ke sehra chamken
جن کی آنکھوں میں سدا پیاس کے صحرا چمکیں
Dar haqeeqat wohi fankaar hua karte hain
در حقیقت وہی فنکار ہُوا کرتے ہیں
Sharm aati hai ke dushman kise samjhein mohsin
شرم آتی ہے کہ دُشمن کِسے سمجھیں محسن
Dushmani ke bhi to mayaar hua karte hain
دُشمنی کے بھی تو معیار ہُوا کرتے ہیں


Marahil-e-shauq ke dushwaar hua karte hain

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke
مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے

Ja chuka chaand samundar se kinaara kar ke
جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے

Tajurba aik hi ibrat ke liye kaafi tha
تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا

Main ne dekha hi nahin ishq dobaara kar ke
میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے


Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Ye Kis Ne Hum Sey

‏
یہ کس نے ہم سے لہو کا خراج پھر مانگا


ابھی تو سوئے تھے مقتل کو سُرخرو کر کے

محسن نقوی

Koi umeed bar nahi oati

Koi umeed bar nahi aati
کوئی امید بر نہیں آتی
Koi soorat nazar nahi aati
کوئی صورت نظر نہیں آتی
Maut ka ek din mu’ayyan hai
موت کا ایک دن معین ہے
Neend kyun raat bhar nahi aati
نیند کیوں رات بھر نہیں آتی
Aage aati thi haale dil pe hansi
آگے آتی تھی حالِ دل پہ ہنسی
Ab kisi baat par nahi aati
اب کسی بات پر نہیں آتی
Jaanta hoon sawab-e-ta’at o zuhd
جانتا ہوں ثوابِ طاعت و زہد
Par tabiyat udhar nahi aati
پر طبیعت ادھر نہیں آتی
Hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
ہے کچھ ایسی ہی بات جو چپ ہوں
Warna kya baat karna nahi aati
ورنہ کیا بات کرنا نہیں آتی
Kyun na cheekhoon ke yaad karte hain
کیوں نہ چیخوں کہ یاد کرتے ہیں
Meri awaaz gar nahi aati
میری آواز گر نہیں آتی
Daagh-e-dil gar nazar nahi aata
داغِ دل گر نظر نہیں آتا
Boo bhi ae chaarah-gar nahi aati
بو بھی اے چارہ گر نہیں آتی
Hum wahan hain jahan se hum ko bhi
ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی
Kuch hamaari khabar nahi aati
کچھ ہماری خبر نہیں آتی
Marte hain aarzu mein marne ki
مرتے ہیں آرزو میں مرنے کی
Maut aati hai par nahi aati
موت آتی ہے پر نہیں آتی
Kaabe kis munh se jaaoge Ghalib
کعبے کس منہ سے جاؤ گے غالب
Sharm tum ko magar nahi aati
شرم تم کو مگر نہیں آتی


Koi umeed bar nahi aati
Koi umeed bar nahi aati