وفائے عشق ہوں میں اب بکھر جاؤں تو بھتر ہے
جدھر جاتے ہیں یہ بادل ادھر جاؤں تو بہتر ہے
یہ دل کہتا ہے تیرے شہر میں کچھ دن ٹہر جاوں
مگر حالات کہتے ہیں کہ گھر جاؤں تو بہتر ہے
دلوں میں فرق آئیں گےتعلق ٹوٹ جائیں گے
جو دیکھا، جو سنا اس سے مکر جاؤں تو بہتر ہےیہاں ہے
کون میرا جو مجھے سمجھے گامیں کوشش کر کے
اب خود ہی سدھر جاؤں تو بہتر ہے
Wafa-e-ishq hoon main, ab bikhar jaaon toh behtar hai
Jidhar jaate hain yeh baadal, udhar jaaon toh behtar hai
Yeh dil kehta hai tere sheher mein kuch din theher jaaon
Magar halaat kehte hain ke ghar jaaon toh behtar hai
Dilon mein farq aayenge, talluq toot jaayenge
Jo dekha, jo suna, usse mukar jaaon toh behtar hai
Yahan hai kaun mera jo mujhe samjhe ga
Main koshish kar ke ab khud hi sudhar jaaon toh behtar hai