Tag: whatsappstatuspoetry (Page 2 of 8)

Ilzam-e-awargi…

الزام آوارگی کے ڈر سے چھوڑ دیا شہر اپنا

ورنہ یہ چھوٹی سی عمر،پردیس کے قابل تو نہ تھی

Ilzam-e-awargi key dar sey chor diya shehr apna,

Warna ye choti si umer ,pardes key Qabil to na thi…

warna khuda to…

یہ الگ بات ہے سنی گئی تیری

ورنہ خدا تو میرا بھی وہ ہی تھا

Ye alag baat hai sunni gayi teri,

Warna khuda to mera bhi wahi tha…

Sawab ki khatir…

یہ دنیا مطلب کی ہے تم کس مخلص کی بات کرتے ہو غالب

لوگ جنازہ پڑھنے آتے ہیں وہ بھی ثواب کی خاطر

Ye duniya matlab ki hai,tum kis mukhlis ki baat kartey ho Ghalib,

Log janaza parhney aatey hain,wo bhi sawab ki khatir…

Tehzeeb ki misaal…

تہذیب کی مثال غریبوں کے گھر پہ ہے

دو پٹا پھٹا ہوا ہے پر ان کے سر پہ ہے

Tehzeeb ki misal gareebon key ghar pey hai,

Dopata phata huya hai,par un key sar pey hai..

yahi nighahein…

سلیقہ تم نے پردے کا بڑا انمول رکھا ہے

یہی نگاہیں قاتل ہیں اور انہیں ہی کھول رکھا ہے

Saleeqa tum ney pardey ka bara anmol rakha hai,

Yahi nighaein qatil hain,our inhein he khol rakha hai…

kya haal pochtey ho…

کیا حال پوچھتے ہو میرے کاروبار کا

آئینے بیچتا ہوں ، اندھوں کے شہر میں

Kya haal pochtey ho merey karobar ka,

Aaeiney bechta hoon,andhon key shehr mein..

Ilahi aabru rakhna…

الہی آبرو رکھنا ، بڑا نازک زمانہ ہے

دلوں میں کفر رکھتے ہیں ، بظاھر دوستانہ ہے

Ilahi aabru rakhna,bara nazuk zamana hai,

Dilon mein kufr rakhtey hain, bazahir dostana hai…

Abhi dastaan baaqi hai…

وہ پیش لفظ تھا جس نے رلا دیا تجھے

سمبھال خود کو ، ابھی داستان باقی ہے

Wo pesh lafz tha,jis ney rula diya tujhey,

Sambhal khud ko, abi daastan baki hai…

Merey shoq ki yahin laaj rakh….

میرے شوق کی یہیں لاج رکھ

وہ جو طور ہے بہت دور ہے

Merey shoq ki yahin laaj rakh,

Wo jo toor hai bhut door hai…

palat di baazi…

وہ جو سمجھے تھے تماشا ہوگا

میں نے چپ رہ کے پلٹ دی بازی

Wo jo samjhey they tamasha hoga,

Mein ney chup reh key palat di baazi…

« Older posts Newer posts »