Tag: urdushayiri (Page 2 of 10)

mujhey hukum hua …

Mujhey hukum hua kuch or mang uss ke siwa,

Mein dast-e-talab se uth gaya mujhe talab nahin kisi or ki

مجھے حکم ہوا کچھ اور مانگ اس کے سوا

میں دست طلب سے اٹھ گیا مجھے طلب نہیں کسی اور کی

Zabt lazim hai magar

Zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz,

Zalim ab ke bhi na roye ga to mar jaye ga..


ضبط لازم ہے مگر دکھ ہے قیامت کا فراز

ظالم اب کے بھی نہ روے گا تو مر جائے گا


Zabt lazim hai magar

Naam hi kaya nishan hi kaya

Naam hi kaya, nishan hi kaya, khuwab oe khayal ho gaye,

Teri misaal de ke hum teri misaal ho gaye…

نام ہی کیا، نشان ہی کیا ،خواب او خیال ہو گئے

تیری مثال دے کے ہم تیری مثال ہو گئے

Aik raat wo gaya tha..

Aik raat wo gaya tha jahan baat rok key,

Ab tak ruka huwa hoon wahin raat rok key …

ایک رات وہ گیا تھا جہاں بات روک کے

اب تک رکا ہوا ہوں وہیں رات روک کے

Sach ko tameez hi nahin…

Sach ko tameez hi nahin baat karney ki,

Jhoot ko dekho kitna metha bolta hai…

سچ کو تمیز ہی نہیں بات کرنے کی

جھوٹ کو دیکھو کتنا میٹھا بولتا ہے

Aik saya mera mesiha tha…

Aik saya mera mesiha tha,

Kon jaaney, wo kon tha, kya tha…

ایک سایہ میرا مسیحا تھا

کون جانے ،وہ کون تھا ،کیا تھا

Wo koyi dost tha..

Wo koyi dost tha achey dono ka,

Jo pichli raat sey yaad aa raha hai…

وہ کوئی دوست تھا اچھے دونوں کا

جو پچھلی رات سے یاد آ رہا ہے

Qasid hi nahin logon…

Qasid hi nahin logon uss shakhs ka dewana,

Do char kabutar bhi mein ney bhej key dekhey hain…

قاصد ہی نہیں لوگوں اس شخص کا دیوانہ

دو چار کبوتر بھی میں نے بھیج کے دیکھے ہیں

be khudi be sabab nahin..

Be khudi be sabab nahin Ghalib,

Kuch to hai jis ki parda dari hai…


بے خودی بے سبب نہیں غالب

کچھ تو ہے جس کی پردہ داری ہے

« Older posts Newer posts »