Tag: urdupoetry (Page 8 of 39)

usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat…

Usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat,

usey tarsa key rakh diya mein ney sanjeeda ho kar…

اسے بھاتی نہیں تھی میری شرارتی طبیعت

اسے ترسا کے رکھ دیا میں نے سنجیدہ ہو کر

Aaj chup hain wo bolti ankhein..

Aaj chup hain wo bolti ankhein,

Baat dil par koyi lagi hogi…

آج چپ ہیں وہ بولتی آنکھیں

بات دل پر کوئی لگی ہوگی

Ajeeb khabar hai..

Ajeeb khabar hai, sahab suno gey?

Tabib-e-ishq , ishq sey mar gaya…

عجیب خبر ہے ، صاحب سنو گے ؟

طبیب عشق ، عشق سے مر گیا

Zindagi ki chahat mein zindagi gunwaai hai

Zindagi ki chahat mein zindagi gunwaai hai
Aarzi mohabbat thi mustaqil nibhaai hai


Sookh kar hare patte shaakh se girain ge phir
Doobta hai dil mera jab bahaar aayi hai


Mukhtasar kahani kuch yun hai raegani ki
Barh gaye andheray kuch, shama jab jalaai hai


Qaid mein rehaai ke khwab dekhne wala
Ab raha hua hai to qaid yaad aayi hai


Khaak phir bhala banti meri teri duniya se
Ek taraf Khuda to hai, ek taraf khudaai hai


Mujhko bhi mila dena, tumko gar woh mil jaaye
Khush hai zindagi jis se, jis ko raas aayi hai


Jald baaz kehte hain raaste hamein abrak
Manzilon ko shikwa hai deri kyun lagayi hai


زندگی کی چاہت میں زندگی گنوائی ہے
عارضی محبت تھی مستقل نبھائی ہے

سوکھ کر ہرے پتے شاخ سے گریں گے پھر
ڈوبتا ہے دل میرا جب بہار آئی ہے

مختصر کہانی کچھ یوں ہے رائیگانی کی
بڑھ گئے اندھیرے کچھ، شمع جب جلائی ہے

قید میں رہائی کے خواب دیکھنے والا
اب رہا ہؤا ہے تو قید یاد آئی ہے

خاک پھر بھلا بنتی میری تیری دنیا سے
اک طرف خدا تو ہے، اک طرف خدائی ہے

مجھ کو بھی ملا دینا ، تم کو گر وہ مل جائے
خوش ہے زندگی جس سے ، جس کو راس آئی ہے

جلد باز کہتے ہیں راستے ہمیں ابرک
منزلوں کو شکوہ ہے دیر کیوں لگائی ہے


In the desire for life, life has been lost,

Temporary love was sustained as permanent.

Dried, every green leaf will fall from the branch,

My heart sinks when spring arrives.

The tale is somewhat like Raygani’s,

As darkness grew, so did the candle when lit.

The one dreaming of freedom from confinement,

Now that they are free, they recall the captivity.

Better off as dust, I bid farewell to your world,

On one side there’s God, on the other, divine.

Grant it to me too, if they are found for you,

Life is delightful for one for whom it’s suitable.

Swiftly we call the paths “Abrak”,

The destinations complain, why the delay?


TERE KANDHON PE SIR HAI MIYAAN

Tere kandhon pe sir hai miyaan
Mere kandhon pe mera ghar hai miyaan
Mauj masti tumhein mubarak ho
Jaam masaail ki raah guzar hai miyaan
Chaale pichle safar ko rote hain
Is pe darpesh phir safar hai miyaan
Ek hum hi humare jaise hain
Hum sa hona bhi ek hunar hai miyaan
Yeh jo mere khilaaf hain saare
Unko kya roshni se dar hai miyaan
Wo Khuda hai maaf kar dega
Hum pe logon ki bhi nazar hai miyaan
Jis ko dar dar talash karta hai
Tere andar hi wo nagar hai miyaan
Be khabar hain jo hans rahe hain sabhi
Kaise hans doon mujhe khabar hai miyaan
Jis ke saaye mein kuch pinpata nahi
Ibne adam wahi shajar hai miyaan
Jab se takraaye hain mohabbat se
Apna sab kuch idhar udhar hai miyaan
Ab to khud, khud se hum yeh poochte hain
Wo jo abrak sa tha, kidhar hai miyaan


TERE KANDHON PE SIR HAI MIYAAN

تیرے کاندھوں پہ صرف سر ہے میاں
میرے کاندھوں پہ میرا گھر ہے میاں
موج مستی تمہیں مبارک ہو
جاں مسائل کی رہ گزر ہے میاں
چھالے پچھلے سفر کو روتے ہیں
اس پہ درپیش پھر سفر ہے میاں
ایک ہم ہی ہمارے جیسے ہیں
ہم سا ہونا بھی اک ہنر ہے میاں
یہ جو میرے خلاف ہیں سارے
ان کو کیا روشنی سے ڈر ہے میاں
وہ خدا ہے معاف کر دے گا
ہم پہ لوگوں کی بھی نظر ہے میاں
جس کو در در تلاش کرتا ہے
تیرے اندر ہی وہ نگر ہے میاں
بے خبر ہیں جو ہنس رہے ہیں سبھی
کیسے ہنس دوں مجھے خبر ہے میاں
جس کے سائے میں کچھ پنپتا نہیں
ابنِ آدم وہی شجر ہے میاں
جب سے ٹکرائے ہیں محبت سے
اپنا سب کچھ اِدھر اُدھر ہے میاں
اب تو خود ، خود سے ہم یہ پوچھتے ہیں
وہ جو ابرک سا تھا، کدھر ہے میاں


On your shoulders, there’s only a head, sir

On your shoulders, there’s only a head, sir, But on mine, there’s my home, sir. Congratulations on your wave of joy, For life’s journey is a passage of trials, sir.

We shed tears for past journeys, Yet ahead, another journey awaits, sir. We are just like each other, To be like us is also an art, sir.

Those who are against me altogether, What fear do they have of the light, sir? He is forgiving, He is God, People cast their glance upon us too, sir.

The one whom you search for diligently, Resides within you, sir. Those who laugh unknowingly, How can I make them laugh? I know, sir.

In whose shade nothing withers, That’s the tree of humanity, sir. Since the collision with love, Everything of mine is scattered around, sir.

Now, we ask ourselves, Where is the one, like a blessing, sir?


Mein bolti hoon to mujh pey ilzam hai

Mein bolti hoon to mujh pey ilzam hai baghawat ka,

Mein chup rahun to badhi be basi si hoti hai…

میں بولتی ہوں تو مجھ پہ الزام ہے بغاوت کا

میں چپ رہوں تو بڑی بے بسی سی ہوتی ہے

Aaj bhi khud ka intizar kiya…

Aaj bhi khud ka intizar kiya,

Jaaney kis dil mein reh gaya hoon mein…

آج بھی خود کا انتظار کیا

جانے کس دل میں رہ گیا ہوں میں

koun janey ke naye saal mein tu kis ko parhey…

Koun janey ke naye saal mein tu kis ko parhey,

Tera miyar badlta hai nisabon ki tarha…

کون جانے کہ نئے سال میں تو کس کو پڑھے

تیرا معیار بدلتا ہے نصابوں کی طرح

KYA ASASA HAI JISE KHO BHI NAHI SAKTE HAIN

کیا اثاثہ ہے جسے کھو بھی نہیں سکتے ہیں
ہم ترے ہو کے ترے ہو بھی نہیں سکتے ہیں

سب کی نظریں مرے دامن پہ جمی رہتی ہیں
داغ دل کش ہے بہت دھو بھی نہیں سکتے ہیں

درد اتنا کہ پہاڑوں کو بھی تلپٹ کر دے
اور انا ایسی کہ ہم رو بھی نہیں سکتے ہیں

ٹوٹ جاتے ہیں جہاں جاگتا ہوں، خواب سبھی
یعنی اب طے ہؤا ہم سو بھی نہیں سکتے ہیں

ایسا خود رو ہے شجر توبہ محبت ابرک
اس کو من چاہی جگہ بو بھی نہیں سکتے ہی


KYA ASASA HAI JISE KHO BHI NAHI SAKTE HAIN

Kya asasa hai jise kho bhi nahi sakte hain
Hum tere ho ke tere ho bhi nahi sakte hain


Sab ki nazarain mere daaman pe jami rehti hain
Daagh dil kash hai bohot dho bhi nahi sakte hain


Dard itna ke pahaaron ko bhi talpat kar de
Aur ana aisi ke hum ro bhi nahi sakte hain


Tut jaate hain jahan jaagta hoon, khwaab bhi
Yani ab tay hua hum so bhi nahi sakte hain


Aisa khud ro hai shajar toba muhabbat abrak
Usko man chahi jagah bhi nahi sakte hain


WHAT POSSESSION IS THERE THAT WE CANNOT LOSE?

What possession is there that we cannot lose?
We cannot even claim to be yours while being yours.


Everyone’s gaze remains fixed upon my robe.
The heartache is so deep, we cannot wash it away.


The pain is such that it makes mountains crumble,
And pride is such that we cannot even weep.


Wherever I wake, dreams shatter,
It means now we cannot even sleep.


Such is the self-pitying tree of repentance, love’s abrak,
We cannot even find a place to hold it.

DARD KAM HONE LAGA ,AAO KE KUCH RAAT KATAY

درد کم ہونے لگا آؤ کہ کچھ رات کٹے
غم کی معیاد بڑھاؤ کہ کچھ رات کٹے

ہجر میں آہ و بکا رسمِ کہن ہے لیکن
آج یہ رسم ہی دہراؤ کہ کچھ رات کٹے

یوں تو تم روشنیِ قلب ونظر ہو لیکن
آج وہ معجزہ دکھلاؤ کہ کچھ رات کٹے

دل دکھاتا ہے وہ مل کر بھی مگر آج کی رات
اسی بے درد کو لے آؤ کہ کچھ رات کٹے

دم گھٹا جاتا ہے افسردہ دلی سے یارو
کوئی افواہ ہی پھیلاؤ کہ کچھ رات کٹے

میں بھی بیکار ہوں اور تم بھی ہو ویران بہت
دوستو آج نہ گھر جا ؤ کہ کچھ رات کٹے

چھوڑ آئے ہو سرِ شام اسے کیوں ناصر
اسے پھر گھر سے بلا لاؤ کہ کچھ رات کٹے


DARD KAM HONE LAGA ,AAO KE KUCH RAAT KATAY

Dard kam hone laga, aao ke kuch raat katay

Gham ki yaad barhao ke kuch raat katay

Hijr mein aah o baka rasam-e-kehn hai lekin

Aaj yeh rasam hi dehrao ke kuch raat katay

Yun to tum roshni-e-qalb o nazar ho lekin

Aaj woh mojiza dikhlaao ke kuch raat katay

Dil dikhata hai woh mil kar bhi magar aaj ki raat

Issi be-dard ko le aao ke kuch raat katay

Dam ghatta jaata hai afsurda dili se yaaro

Koi afwah hi phailao ke kuch raat katay

Main bhi bekaar hoon aur tum bhi ho veeraan bohot

Dosto, aaj na ghar jao ke kuch raat katay

Chhod aaye ho sar-e-shaam use kyun Nasir

Use phir ghar se bula lao ke kuch raat katay


« Older posts Newer posts »