Tag: twolinerspoetry (Page 4 of 6)

Muqadar ki zanjeer

Muqadar ki zanjeer sey bandhey hum bebas log,

Umar guzar detey hain,mujizon key intezar mein…


مقدر کی زنجیر سے بندهے ہم بے بس لوگ

عمر گز ار دیتے هیں معجزوں کے انتظار میں


Muqdar ki zanjeer

Sitam zamaney

Sitaam zamaney key hum ko na dey sakein gey shikast,

Hum aesey log hain jo muskra key jitey hain…


ستم زمانے کے ہم کو نہ دے سکیں گے شکست

ہم ایسے لوگ ہیں جو مُسکرا کے جیتے ہیں


Sitam zamaney

Woh bhi apney na huye

Wo bhi apney na huye dil bhi gaya hathon sey,

Aesey aaney sey to behtar tha na aana un ka…


وہ بھی اپنے نا ہوٸے دل بھی گیا ہاتھوں سے

ایسے آنے سے تو بہتر تھا نا آنا ان کا


Woh bhi apney na huye

Aab talakhiyon ka samna

Aab talkhiyon ka samna karney ka waqat hai,

Aab umar khawab dekhney wali nahin rahi…


ابّ تلخیوں کا سامنا کرنے کا وقت ہے

اب عُمر خواب دیکھنے والی نہیں رہی


Aab talakhiyon ka samna

Tu meri aman pasandi ko

Tu meri aman pasandi ko ghalat naam na de

Waar sehta he nahin, waar bhi kar sakta hoon…


تو میری امن پسندی کو  غلط نام نہ دے

وار سہتا ہی نہیں ، وار بھی کر سکتا ہوں


Tu meri aman pasandi ko

Halaat burey they

Haalat burey they magar rakhti thi nawab bana kar,

Hum ghareeb they ye sirf meri maa janti thi…


حالات بُرے تھے مگر رکھتی تھی نواب بنا کر

ہم غریب تھے یہ صرف میری ماں جانتی تھی


Halaat burey they...

Kch to bharam…

Zindagi kuch to bharam to meri ahbab ka rakh,

Sarey chehrey to merey samany uriyan na kar…


زندگی، کچھ تو بھرم تُو مِیرے احباب کا رکھ

سارے چہرے تو مِیرے سامنے عریاں نہ کر


Kch to bharam

Har chezz badal gayi

Kahan hain wo apni wada ghahein,har cheez badal gayi yahan to,

Mein shehr-e- wafa sey aarha hoon,koi bhi nahin mila wahan to…


کہاں ہیں وہ اپنی وعدہ گاہیں, ہر چیز بدل گئی یہاں تو

میں شہر وفا سے آرہا ہوں ,کوئی بھی نہیں ملا وہاں تو


Har chezz badal gayi

Tamam umar

Tamam umer guzari hum ney hijratein kartey,

Humarey naam ki takhti kisi makan pey nahi…


تمام عمر گزاری ہم نے ہجرتیں کرتے

ھمارے نام کی تختی کسی مکان پہ نہیں


Tamam umar

Piyass aesi ke

Piyas aisi ke pi jaon samandar sarey,

Naseeb aesa ke meyasar zehr tak nahin…


پیاس ایسی کہ پی جاوُ ں سمندر سارے

نصیب ایسا کہ میسر زہر  تک نہیں 


Piyass aesi ke

« Older posts Newer posts »