Junoon hota hai,har umer mein juda juda
Junoon hota hai,har umer mein juda juda, Khiloney, ishq, paisa or phir khuda khuda…
Junoon hota hai,har umer mein juda juda, Khiloney, ishq, paisa or phir khuda khuda…
Uss sey kehna saboot pukhata karey, Baat ab khuda tak ja pohanchi hai…
Mein ney uss ko itna dekha, jitna dekha ja sakta tha, Lekin phir bhi do ankhon sey, kitna dekha ja sakta tha…
Aye hasil-e- khulos bata kiya jawab dun, Duniya ye pochti hai key mein kyun udas hun…
Qalam likh nahin sakta hai, preshan dil key afsaney, Hamarey sath jo bhi hota hai, bus acha nahin hota…
Usey bhati nahin thi meri shararti tabiyat, usey tarsa key rakh diya mein ney sanjeeda ho kar…
Mein bolti hoon to mujh pey ilzam hai baghawat ka, Mein chup rahun to badhi be basi si hoti hai…