Skip to content

Tag: statuspoetry

Mujhe bhool jaane ka da’wa apni jagah

Mujhe bhool jaane ka da’wa apni jagah
مُجھے بھول جانے کا دعوٰی اپنی جگہ

Mere naam par tera chonknā achha laga
میرے نام پر تیرا چونکنا اچھا لگا


Mujhey bhool jaaney ka dawa apni jaga

Sahi waqt par karwa denge hudood ka ehsaas

Sahi waqt par karwa denge hudood ka ehsaas
سہی وقت پر کروا دینگے حدود کا احساس

Kuch talab khud ko samundar samajh baithay hain
کچھ تلاب خود کو سمندر سمجھ بیٹھے ہیں


Sahi waqat per karwa dein gey hudood ka ahsaas

Main kabhi Adam

Main kabhi Adam, kabhi Musa, kabhi Yaqub hoon
میں کبھی آدم، کبھی موسیٰ، کبھی یعقوب ہوں

Neza Ibrahim hoon, naslein hain meri be-shumar
نیزہ ابراہیم ہوں، نسلیں ہیں میری بے شمار


Mein kabhi aadam,kabhi moussa,kabhi yaqoob hoon

Sehan gurbat mein Qaza der sey mat aaya

Sehan gurbat mein Qaza der sey mat aaya kar,

Kharch tadfeen ka ho jata hai bemaari per…


صحن غربت میں قضا دیر سے مت آیا کر

خرچ تدفین کا ہو جاتا ہے بیماری پر


Sehan gurbat mein Qaza der sey mat aaya kar

Hoti rahe khilaaf mere sheher ki hawa

Hoti rahe khilaaf mere sheher ki hawa
ہوتی رہے خلاف میرے شہر کی ہَوا

Main ne bhi har mizaaj ka theka nahi liya
میں نے بھی ہر مزاج کا ٹھیکہ نہیں لیا


silhouette of person on cliff beside body of water during golden hour

Jitna zawal sehna tha, seh liya hum ne

Jitna zawal sehna tha seh liya hum ne
جتنا زوال سہنا تھا سہ لیا ہم نے

Ab tareekh likhi jaaye gi apne urooj ki
اب تاریخ لکھی جائے گی اپنے عروج کی


Jitna zawal sehna tha,seh liya hum ney