Tag: statuspoetry (Page 2 of 10)

Tum sey pehley…

Tum sey pehley wo jo aik shaks yahan takht nasheen tha,

Uss ko apney khuda honey pey itna hi yaqeen tha…

تم سے پہلے وہ جو اک شخص یہاں تخت نشین تھا

اس کو بھی اپنے خدا ہونے پہ اتنا ہی یقین تھا

mujhey maloom tha…

مجھے معلوم تھا سب میرا وجدان کہتا تھا

اک حادثہ درپیش ہونا ہے مجھے درویش ہونا ہے

Mujhey maloom tha sab,mera wijdaan kehta tha,

Ek hadsa darpesh hona hai,mujhey darwesh hona hai…

Ye jo raqs hai mera…

یہ جو رقص ہے میرا فرش پر ،یہی لے اڑا مجھے عرش پر

میری ذات میں جو دھمال ہے ، تیرے عشق کا کمال ہے

Ye jo raqs hai mera farsh per,yahi ley udda mujhey arsh per,

Meri zaat mein jo dhamal hai,terey ishq ka kamal hai…

Ameer-e-shehr…

امیر شہر کا لہجہ مجھے منظور نہیں

اسے ضرور یہ کہنا اپنی حد میں رہے

Ameer-e-shehr ka lehja mujhey manzoor nahin,

Usey zaroor ye kehna, apni had mein rahey…

Zabt darya ka bhi…

ضبط دریا کا بھی دیکھا ہے ہم نے

بوجھ پڑتے ہی کناروں سے الجھ پڑتا ہے

Zabt darya ka bhi dekha hai hum ney,

Bojh partey hi kinaron sey uljh parta hai…

Chehra dekhney sey…

چہرہ دیکھنے سے نا جان پاؤگے حقیقت میری

کہیں پتھر ،کہیں موتی ،کہیں آئینہ ہوں میں

Chehra dekhaney sey na jaan pao gey haqiqat meri,

Kahin pathar,kahin moti,kahin aaiena hoon mein…

Uljhanein mein ne kayi…

الجھنیں میں نے کئی جھک کر بھی سلجھائیں ہیں

لوگ سارے تو نہیں قد کے برابر ہوتے

Uljhanein mein ney kayi jhuk kar bhi suljhaein hain,

Log saarey to nahi Qad key barabar hotey…

« Older posts Newer posts »