Tag: poetrycollection (Page 23 of 31)

Kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye

Kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye


کچھ تو ترے موسم ہی مجھے راس کم آئے

Aur kuch meri mitti mein baghawat bhi bohat thi


اور کچھ مری مٹی میں بغاوت بھی بہت تھی


Kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye
Kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye

Nishaan phir bhi reh jaata hai Ghalib

Nishaan phir bhi reh jaata hai Ghalib


نشان پھر بھی رہ جاتا ہے غالب

Toot kar jur jaana itna aasaan nahin


ٹوٹ کر جڑ جانا اتنا آسان نہیں


Nishaan phir bhi reh jaata hai Ghalib
Nishaan phir bhi reh jaata hai Ghalib

Wafa-e-ishq hoon main, ab bikhar jaaun to behtar hai

Wafa-e-ishq hoon main, ab bikhar jaaun to behtar hai
وفائے عشق ہوں میں، اب بکھر جاؤں تو بہتر ہے

Jidhar jaate hain yeh baadal, udhar jaaun to behtar hai
جدھر جاتے ہیں یہ بادل، ادھر جاؤں تو بہتر ہے


Yeh dil kehta hai tere sheher mein kuch din thehar jaaun
یہ دل کہتا ہے تیرے شہر میں کچھ دن ٹہر جاؤں

Magar haalaat kehte hain ke ghar jaaun to behtar hai
مگر حالات کہتے ہیں کہ گھر جاؤں تو بہتر ہے


Dilon mein farq aayenge, ta’alluq toot jaayenge
دلوں میں فرق آئیں گے، تعلق ٹوٹ جائیں گے

Jo dekha, jo suna us se mukar jaaun to behtar hai
جو دیکھا، جو سنا اُس سے مکر جاؤں تو بہتر ہے


Yahan hai kaun mera jo mujhe samjhe ga
یہاں ہے کون میرا جو مجھے سمجھے گا

Main koshish kar ke ab khud hi sudhar jaaun to behtar hai
میں کوشش کر کے اب خود ہی سدھر جاؤں تو بہتر ہے


Khul kar rone ki bhi azaadi na mili
Wafa-e-ishq hoon main, ab bikhar jaaun to behtar hai

Bas khatam kar yeh baazi-e-ishq Ghalib

Bas khatam kar yeh baazi-e-ishq Ghalib


بس ختم کر یہ بازیٔ عشق غالب

Muqaddar ke haare kabhi jeeta nahin karte


مقدر کے ہارے کبھی جیتا نہیں کرتے


Bas khatam kar yeh baazi-e-ishq Ghalib
Bas khatam kar yeh baazi-e-ishq Ghalib

Milte hain shab o roz sabhi log shanaasa

Milte hain shab o roz sabhi log shanaasa
ملتے ہیں شب و روز سبھی لوگ شناسا

Ek tujh se mulaaqaat ka armaan bohat hai
ایک تجھ سے ملاقات کا ارمان بہت ہے


Milte hain shab o roz sabhi log shanaasa
Milte hain shab o roz sabhi log shanaasa

Qaid mein guzray gi jo umr, baray kaam ki thi

Qaid mein guzray gi jo umr, baray kaam ki thi
قید میں گزرے گی جو عمر، بڑے کام کی تھی

Par main kya karti ke zanjeer tere naam ki thi
پر میں کیا کرتی کہ زنجیر ترے نام کی تھی


Jis ke maathe pe mere bakht ka taara chamka
جس کے ماتھے پہ مرے بخت کا تارہ چمکا

Chaand ke doobne ki baat usi shaam ki thi
چاند کے ڈوبنے کی بات اسی شام کی تھی


Maine haathon ko hi patwaar banaya warna
میں نے ہاتھوں کو ہی پتوار بنایا ورنہ

Ek tooti hui kashti mere kis kaam ki thi
ایک ٹوٹی ہوئی کشتی مرے کس کام کی تھی


Woh kahani ke abhi soiyan nikli bhi na thin
وہ کہانی کہ ابھی سوئیاں نکلیں بھی نہ تھیں

Fikr har shakhs ko shehzadi ke anjaam ki thi
فکر ہر شخص کو شہزادی کے انجام کی تھی


Yeh hawa kaise udaa le gayi aanchal mera
یہ ہوا کیسے اُڑا لے گئی آنچل میرا

Yoon satane ki to aadat mere Ghanshyam ki thi
یوں ستانے کی تو عادت مرے گھنشیام کی تھی


Bojh uthate hue phirti hai hamaara ab tak
بوجھ اٹھاتے ہوئے پھرتی ہے ہمارا اب تک

Ae zameen maa teri yeh umr to aaraam ki thi
اے زمیں ماں تری یہ عمر تو آرام کی تھی

پروین__شاکر


-parveen shakir

« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑