Tag: poetrycollection (Page 19 of 24)

Ab to har haath ka…

Ab to har haath ka pathar humen phchanta hai,

Umar guzri hai,tere shehir aate jaate…

ابّ تو ہر ہاتھ کا پتھر ہمیں پہچانتا ہے

عمر گزری ہے تیرے شہر اتے جاتے

Tum sey pehley…

Tum sey pehley wo jo aik shaks yahan takht nasheen tha,

Uss ko apney khuda honey pey itna hi yaqeen tha…

تم سے پہلے وہ جو اک شخص یہاں تخت نشین تھا

اس کو بھی اپنے خدا ہونے پہ اتنا ہی یقین تھا

Ziban pey muhar lagana…

زبان پہ مہر لگانا تو کوئی بات نہیں

بدل سکو تو بدل دو میرے خیالوں کو

Ziban pey muhar lagana to koi baat nahin,

Badal sako to badal do merey khayalon ko…

mujhey maloom tha…

مجھے معلوم تھا سب میرا وجدان کہتا تھا

اک حادثہ درپیش ہونا ہے مجھے درویش ہونا ہے

Mujhey maloom tha sab,mera wijdaan kehta tha,

Ek hadsa darpesh hona hai,mujhey darwesh hona hai…

Ye jo raqs hai mera…

یہ جو رقص ہے میرا فرش پر ،یہی لے اڑا مجھے عرش پر

میری ذات میں جو دھمال ہے ، تیرے عشق کا کمال ہے

Ye jo raqs hai mera farsh per,yahi ley udda mujhey arsh per,

Meri zaat mein jo dhamal hai,terey ishq ka kamal hai…

Aagahi mujh ko…

آگہی مجھ کو کھا گئی ورنہ

میں نے جینا تھا اپنے مرنے تک

Aagahi mujh ko kha gayi warna,

Mein ney jeena tha apney marn

ey tak…

Ameer-e-shehr…

امیر شہر کا لہجہ مجھے منظور نہیں

اسے ضرور یہ کہنا اپنی حد میں رہے

Ameer-e-shehr ka lehja mujhey manzoor nahin,

Usey zaroor ye kehna, apni had mein rahey…

Merey ousaaf sey hoti…

میرے اوصاف سے ہوتی نہیں پہچان میری

اپنے عیبوں سے نمایاں ہوں ہمیشہ کی طرح

Merey ousaf sey hoti nahin pehchan meri,

Apney aiboun sey numayan hoon hemesha ki taraha…

Zabt darya ka bhi…

ضبط دریا کا بھی دیکھا ہے ہم نے

بوجھ پڑتے ہی کناروں سے الجھ پڑتا ہے

Zabt darya ka bhi dekha hai hum ney,

Bojh partey hi kinaron sey uljh parta hai…

« Older posts Newer posts »