Home » poetrycollection » Page 11
Tareekh hazaroon saloon mein bus itni si badali hai, Tab dour tha pathar ka aab log hain pathar key….
Ilzam-e-awargi key dar sey chor diya shehr apna, Warna ye choti si umer ,pardes key Qabil to na thi…
Raabtey bhi rakhta hoon,raastey bhi rakhta hoon, Logon sey bhi milta hoon,fasiley bhi rakhta hoon…
Yaroon ki hujatein hoon key geroon ki tuhmatein, Jis rang mein raha hoon numaya raha hoon mein…
Chaman mein our bhi hain ghonseley parindon key, Merey hi pechey kyun bijliyan lagi hui hain…
Kitni ziddi hain ye tamnaein, Jesey bachey ameer logo key…
Ye sharat-e-ulfat bhi ajab hai Muhsin, Mein pora utarta hoon,wo mayar badal detey hain…
Daleel na thi na koi hawala tha un key paas, Ajeeb log they bus ikhtilaf rakhtey they…
Wirasat se tay na honge qiyadat ke faislay وراثت سے طے نہ ہوں گے قیادت کے فیصلے Udaan tay karegi ke aasman kis ka hai…
Phir yun huya key,ek dosrey ko taktey rahey der tak, Wo andazey bayan sey qasir , mein lafzey ibtida sey aajiz…