Page 25 of 54

Tu agar sun nahi paya to mujhe

Tu agar sun nahi paya to mujhe ghor se dekh

baat aesi hai k dhurayi nahi jaye gi


تو اگر سن نہیں پایا تو مجھے غور سے دیکھ
بات ایسی ہے کہ دھرائی نہیں جائے گی ۔۔


Be daam hi bik jaon…

Be daam hi bik jaon, baazar-e-NABI (S.A.A.W) mein,

Is shaan ke sudon mein khasare nahin hote…

بے دام ہی بک جاؤں ، بازار نبی (صہ ) میں

اس شان کے سودوں میں خسارے نہیں ہوتے

Ishiq Qatil se bhi

Ishiq Qatil se bhi, maqtool sey humdardi bhi,

Yeh bata kis sey muhabat ki jaza mange ga,

Sajda khaliq ko bhi, ablees se yarana bhi,

Hashar mein kis se aqidat ka sila mange ga…


عشق قاتل سے بھی ، مقتول سے ہمدردی بھی

یہ بتا کس سے محبت کی جزا مانگے گا

سجدہ خالق کو بھی ، ابلیس سے یارانہ بھی

حشر میں کس سے عقیدت کا صلہ مانگے گا


Ishiq Qatil se bhi,Maqtool se humdardi bhi...

Ghuror toot gaya magar koi martaba na mila…

Ghuror toot gaya magar koi martaba na mila,

Sitam ke bad bhi kuch hasil-e-jafa na mila,

Sar-e- Hussain (a.s) mila hai yazeed ko lekin,

Shikast ye hai phir bhi jhuka hua na mila

غرور ٹوٹ گیا مگر کوئی مرتبہ نہ ملا

ستم کے بعد بھی کچھ حاصل جفا نہ ملا

سر حسین (ع) ملا ہے یزید کو لیکن

شکست یہ ہے پھر بھی جھکا ہوا نہ ملا

Aik pal ki thi bus hukumat yazeed ki..

Aik pal ki thi bus hukumat yazeed ki,

Sadiyan Hussain ki hain zamana Hussain ka…

ایک پل کی تھی بس حکومت یزید کی

صدیاں حسین (ع) کی ہے زمانہ حسین (ع) کا

Ye soch kar ke wo…

Ye soch kar key wo kharki se jhank le shayad,

Gali mein khelte bache lara diye mein ne…

یہ سوچ کر کہ وہ کھڑکی سے جھانک لے شاید

گلی میں کھیلتے بچے لڑا دئیے میں نے

mujhey hukum hua …

Mujhey hukum hua kuch or mang uss ke siwa,

Mein dast-e-talab se uth gaya mujhe talab nahin kisi or ki

مجھے حکم ہوا کچھ اور مانگ اس کے سوا

میں دست طلب سے اٹھ گیا مجھے طلب نہیں کسی اور کی

Heeran hoon ke aik bhi..

Heeran hoon ke aik bhi ghawahi na mil saki,

Halanke aik hujoom mein maara gaya mujhe

حیران ہوں کہ ایک بھی گواہی نہ مل سکی

حالانکہ ایک ہجوم میں مارا گیا مجھے

Ja baja dil ko lagane se kahan bholey ga

Hum ko wo shaks bhulane se kahan bholey ga

Han kaai roz se wo yaad nahin aya magar

wo faqat yaad na aane se kahan bholey ga


‏‎جا بجا دل کو لگانے سے کہاں بھولے گا

ہم کو وہ شخص بھلانے سے کہاں بھولے گا

ہاں کئی روز سے وہ یاد نہیں آیا مگر 

وہ فقط یاد نہ آنے سے  کہاں بھولے گا


« Older posts Newer posts »