Chara gar aye dil-betaab kahan atey hain,

Mujh ko khush rehney key aadaab kahan atey hain,

Mein to yak musht usey sounp don sub kuch,lekin

Ek muthi mein merey khuwab kahan atey hain,

Mudaton bad usey dekh key dil bhar aya,

Warna sehraahon mein sylaab kahan atey hain,

Meri be-dard nighaon mein agar bhooley sey ,

Nind aye bhi to ab khuwab kahan atey hain,

Tanhan rehta hoon mein din bhar,bhari duniya mein Qateel,

Din burey hoon to phir ahbaab kahan atey hain…


Urdu