Category: Urdu poetry (Page 35 of 54)

Urdu poetry collection

Raabtey bhi rakhta hoon..

رابطے بھی رکھتا ہوں ،راستے بھی رکھتا ہوں

لوگوں سے بھی ملتا ہوں ، فاصلے بھی رکھتا ہوں

Raabtey bhi rakhta hoon,raastey bhi rakhta hoon,

Logon sey bhi milta hoon,fasiley bhi rakhta hoon…

Chal para hoon zamaney ….

چل پڑا ہوں زمانے کے اصولوں پہ محسن

میں بھی اب اپنی ہی باتوں سے مکر جاتا ہوں

Chal para hoon zamaney key asolon pey Muhsin

Mein bhi ab apni he baton sey mukar jata hoon…

Yaroon ki hujatein…

یاروں کی حجتیں ہوں کہ غیروں کی تہمتیں

جس رنگ میں رہا ہوں نمایاں رہا ہوں میں

Yaroon ki hujatein hoon key geroon ki tuhmatein,

Jis rang mein raha hoon numaya raha hoon mein…

Chaman mein our bhi…

چمن میں اور بھی ہیں گھونسلے پرندوں کے

میرے ہی پیچھے کیوں بجلیاں لگی ہوئی ہیں

Chaman mein our bhi hain ghonseley parindon key,

Merey hi pechey kyun bijliyan lagi hui hain…

Har ibtida sey pehle…

ہر ابتدا سے پہلے ،ہر انتہا کے بعد

ذات نبی بلند ہے ،ذات خدا کے بعد

دنیا میں احترام کے قابل ہیں جتنے بھی لوگ

میں سب کو مانتا ہوں مگر مصطفیٰ (صہ)کے بعد

Har ibtida sey pehley,har inteha key baad,

Zaat-e-nabi buland hai, zaat-e-khuda key baad,

Dunia mein ahteram key Qabil hain jitney bhi log,

Mein sub ko manta hoon,magar MUSTAFHA(s.a.w.w) key baad…

Kitni ziddi hain…

کتنی ضدی ہیں یہ تمنائیں

جیسے بچے امیر لوگوں کے

Kitni ziddi hain ye tamnaein,

Jesey bachey ameer logo key…

Iss shehr key andaz…

اس شہر کے انداز عجب دیکھے ہیں، یارو

گونگوں سے کہا جاتا ہے بہروں کو پکارو

Iss shehr key andaz ajab dekhey hain,yaaro

Gongon sey kaha jata hai behron ko pukaro…

Subha key takht nasheen…

صبح کے تخت نشین ،شام کو مجرم ٹہرے

ہم نے پل بھر میں نصیبوں کو بدلتے دیکھا

Subha key takht nasheen,shaam ko mujrim therye,

Hum ney pal bhar mein naseebon ko badaltey dekha…

Ye rang chehre ke

Ye rang chehre ke or khuwab apni ankhon ke

hawa chale koi aesi bikhar na jaen kahin

jhalak raha hai jin ankhon se ab wajood mera

ye ankhein haye, ye ankhein mukar na jaen kahin


‎یہ رنگ چہرے کے اور خواب اپنی آنکھوں کے
‎ہوا چلے کوئی ایسی بکھر نہ جائیں کہیں

‎جھلک رہا ہے جن آنکھوں سے اب وجود مرا
‎یہ آنکھیں ہائے، یہ آنکھیں مکر نہ جائیں کہیں


Ye sharat-e-ulfat

Ye sharat-e-ulfat bhi ajab hai Muhsin,

Mein pora utarta hoon,wo mayar badal detey hain…


یہ شرط الفت بھی عجب ہے محسن

میں پورا اترتا ہوں وہ معیار بدل دیتے ہیں


industry technology music computer

« Older posts Newer posts »