Category: Urdu poetry (Page 34 of 54)

Urdu poetry collection

Sitam to yeh hai key…

ستم تو یہ ہے کہ ہمارے صفوں میں شامل ہیں

چراغ بجھتے ہی خیمہ بدلنے والے لوگ

Sitam to ye hai key, hamarey sifon mein shamil hain,

Charagh bujhtey he khima badalney waaley log…

Dil-o-dimag mutafiq…

دل -و -دماغ متفق نہ ہوے پاک اور ہند کی طرح

یہ محبت مجھے مسئلہ ے کشمیر لگتی ہے

Dil-o- dimag mutafiq na huye paak our hind ki taraha,

Ye mohabat mujhey masla-e-kashmir lagti hai…

Uljhanein mein ne kayi…

الجھنیں میں نے کئی جھک کر بھی سلجھائیں ہیں

لوگ سارے تو نہیں قد کے برابر ہوتے

Uljhanein mein ney kayi jhuk kar bhi suljhaein hain,

Log saarey to nahi Qad key barabar hotey…

Taak mein dushman bhi they

Taak mein dushman bhi they our pusht par ahbaab bhi,

Teer pehla kis ney maara ye kahani phir sahi…


تاک میں دشمن بھی تھے اور پشت پر احباب بھی

تیر پہلا کس نے مارا یہ کہانی پھر سہی


cold snow wood landscape

Falak mein aagh lag jaati…

فلک میں آگ لگ جاتی ،جو دونوں روبروں ہوتے

غروب شمس لازم تھا ،طلوح چاند سے پہلے

Falak mein aagh lag jaati,jo dono robaron hotey,

Ghurub-e-shams lazim tha,tuluh-e-chaand sey pehle…

AIK HUM HAIN KEY HAAR SHOR SEY UKTAYE HUYE HAIN…

سب جن کے لیے جھولیاں پھیلائے ہوئے ہیں
وہ رنگ مری آنکھ کے ٹھکرائے ہوئے ہیں

اک تم ہو کہ شہرت کی ہوس ہی نہیں جاتی 
اک ہم ہیں کہ ہر شور سے اکتائے ہوئے ہیں


SAB JIN KEY LIYE JHULIYAN PHELAYE HUYEN HAIN

WO RANG MERI ANKH KEY TUKHRAAYE HUYE HAIN

AIK TUM HO KEY SHOHRAT KI HAWAS HI NAAHI JAATI

AIK HUM HAIN KEY HAAR SHOR SEY UKTAAYE HUYE HAIN


Tareekh hazaroon salon mein…

تاریخ ہزاروں سالوں میں بس اتنی سی بدلی ہے

تب دور تھا پتھر کا اب لوگ ہیں پتھر کے

Tareekh hazaroon saloon mein bus itni si badali hai,

Tab dour tha pathar ka aab log hain pathar key….

SARDAR ISI LIYE HO KE, SARDAR MAR GAYE…

کچھ لوگ اِس لئے یہاں بیکار مر گئے
اُن سے بھی پہلے اُن کے عزادار مر گئے

یہ پگڑیاں ملی ہیں وراثت میں یعنی تم 
سردار اِس لئے ہو کہ سردار مر گئے


KUCH LOG ISI LIYE YAHAN BEKAAR MAAR GAYE

UN SEY BHI PEHLEY UN KEY AZADAAR MAAR GAYE

YE PAGHRIYAAN MILI HAIN WIRASAAT MEIN YAANI TUM

SARDAAR ISI LIYE HO KEY, SARDAAR MAAR GAYE…

Ilzam-e-awargi…

الزام آوارگی کے ڈر سے چھوڑ دیا شہر اپنا

ورنہ یہ چھوٹی سی عمر،پردیس کے قابل تو نہ تھی

Ilzam-e-awargi key dar sey chor diya shehr apna,

Warna ye choti si umer ,pardes key Qabil to na thi…

« Older posts Newer posts »