Author: Admin (Page 61 of 63)

Teri Baatein Hi Sunane Aye

Teri baatein hi sunane aaye
تیری باتیں ہی سنانے آئے

Dost bhi dil hi dukhane aaye
دوست بھی دل ہی دُکھانے آئے

Phool khilte hain to hum sochte hain
پھول کھلتے ہیں تو ہم سوچتے ہیں

Tere aane ke zamane aaye
تیرے آنے کے زمانے آئے

Aisi kuch chup si lagi hai jaise
ایسی کچھ چپ سی لگی ہے جیسے

Hum tujhe haal sunane aaye
ہم تجھے حال سنانے آئے

Ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gham
عشق تنہا ہے سرِ منزلِ غم

Kaun yeh bojh uthane aaye
کون یہ بوجھ اُٹھانے آئے

Ajnabi dost humein dekh ke hum
اجنبی دوست ہمیں دیکھ کہ ہم

Kuch tujhe yaad dilane aaye
کچھ تجھے یاد دِلانے آئے

Dil dhadakta hai safar ke hangaam
دل دھڑکتا ہے سفر کے ہنگام

Kaash phir koi bulane aaye
کاش پھر کوئی بلانے آئے

Ab to rone se bhi dil dukhta hai
اب تو رونے سے بھی دل دُکھتا ہے

Shaayad ab hosh thikane aaye
شاید اب ہوش ٹھکانے آئے

Kya kahein phir koi basti ujri
کیا کہیں پھر کوئی بستی اُجڑی

Log kyun jashn manane aaye
لوگ کیوں جشن منانے آئے

So raho maut ke pehlu mein Faraz
سو رہو موت کے پہلو میں فراز

Neend kis waqt na jaane aaye
نیند کس وقت نہ جانے آئے


Sada-e-dasht hoon aur raaste mein koi nahin

Sada-e-dasht hoon aur raaste mein koi nahin

صدائے دشت ہوں اور راستے میں کوئی نہیں
Sada-e-dasht hoon aur raaste mein koi nahin
تمھارے بعد مرے رابطے میں کوئی نہیں
Tumhare baad mere raabte mein koi nahin
میں پھول بن کے کھلوں اور پھر بکھر جاؤں
Main phool ban ke khiloon aur phir bikhar jaaun
کسی کا ہاتھ مرے حادثے میں کوئی نہیں
Kisi ka haath mere haadse mein koi nahin
بہار آئے گی اور پھر سجے گا گلشن بھی
Bahar aayegi aur phir saje ga gulshan bhi
ہمارے خواب کے اس دائرے میں کوئی نہیں
Hamare khwab ke is daire mein koi nahin
بچھڑ کے ملنا، بچھڑ جانا پھر سدا کے لیے
Bichhar ke milna, bichhar jana phir sada ke liye
ذرا سا غور کرو فائدے میں کوئی نہیں
Zara sa ghaur karo faide mein koi nahin
اکیلے شام سے پھرتے تھے سر پہ رات آئی
Akele shaam se phirte the, sar pe raat aayi
سہانی رات ہے اور رتجگے میں کوئی نہیں
Suhani raat hai aur ratjage mein koi nahin
بڑے وثوق سے تنکوں کو جوڑ رکھا تھا
Bade wusuq se tinkon ko jor rakha tha
عجب نصیب کہ اب گھونسلے میں کوئی نہیں
Ajab naseeb ke ab ghonslay mein koi nahin
کہاں گئے ہیں وہ یارانِ خوش خصال کہ اب
Kahan gaye hain woh yaraan-e-khush-khisal ke ab
ڈھلی ہے رات مگر میکدے میں کوئی نہیں
Dhali hai raat magar maikade mein koi nahin


شائستہ مفت

Tu Humein un Dino Mein Kyun Na Mila

تُو ہمیں ان دنوں میں کیوں نہ ملا
Tu humein un dino mein kyun na mila

جب ہمیں شوق تھے سنورنے کے
Jab humein shauq thay sanwarnay ke

ہم نے جینے کی عمر میں صاحب
Hum ne jeenay ki umr mein sahab

پال رکھے ہیں شوق مرنے کے۔
Paal rakhe hain shauq marne ke


Tanhaai Ke Azaab, Qayamat Ke Raat Din

Tanhaai ke azaab, qayamat ke raat din
تنہائی کے عذاب، قیامت کے رات دِن

Aur sochta hi rehne ki aadat ke raat din
اور سوچتے ہی رہنے کی عادت کے رات دِن

Ik raazdaar-e-khaas ko har waqt dhoondna
اِک رازدارِ خاص کو ہر وقت ڈھونڈنا

Be itimadiyon mein zarurat ke raat din
بے اعتباریوں میں ضرورت کے رات دِن

Woh har kisi se apna hi ahwaal poochhna
وہ ہر کسی سے اپنا ہی احوال پوچھنا

Apne se bhi tajaahal o ghaflat ke raat din
اپنے سے بھی تجاہل و غفلت کے رات دِن

Be wajah apne aap ko har waqt kosna
بے وجہ اپنے آپ کو ہر وقت کوسنا

Be sood har kisi se shikayat ke raat din
بے سود ہر کسی سے شکایت کے رات دِن

Pehle bhi jaan-gusal the magar is qadar nahin the
پہلے بھی جاں گُسل تھے مگر اِس قدر نہ تھے

Ik sheher-e-be-amaan mein sukoonat ke raat din
اِک شہرِ بے اَماں میں سکونت کے رات دِن


Ahmad Faraz
احمد فراز

Tujh Ko Aye Shakhs

Tujh ko aye shakhs, kabhi zindagi ki tanhai mein


تُجھ کو اے شخص، کبھی زیست کی تنہائی میں

Yaad aayenge hum ajlat mein gawayay huay log


یاد آئیں گے ہم عجلت میں گنوائے ہوئے لوگ


Na Hum Rahe Na Woh Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi

Na hum rahe na woh khwabon ki zindagi hi rahi
نہ ہم رہے نہ وہ خوابوں کی زندگی ہی رہی

Gumaan gumaan si mehek khud ko dhoondti hi rahi
گُماں گُماں سی مہک خود کو ڈھونڈتی ہی رہی

Sunaon main kisay afsana-e-khayaal-e-malaal
سناؤں میں کِسے افسانۂ خیالِ ملال

Teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi
تیری کمی ہی رہی اور میری کمی ہی رہی


جون ایلیا

Usey pata hi nahin mausam-e-khizaan ka dukh

اُسے پتا ہی نہیں موسمِ خزاں کا دکھ

Usey pata hi nahin mausam-e-khizaan ka dukh

وہ اِس لیے کہ اُسے سب ہَرا میسّر ہے

Woh is liye ke use sab hara mayassar hai

یہ پہلا دُکھ، کہ مجھے جانتا نہیں کوئی

Yeh pehla dukh, ke mujhe jaanta nahin koi

یہ دوسرا، اُسے ہر دوسرا میسّر ہے

Yeh doosra, use har doosra mayassar hai


« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑