Author: Admin (Page 50 of 63)

Hum dekhenge

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
لازم ہے کہ ہم بھی دیکھیں گے

Woh din ke jis ka wa’ada hai
وہ دن کہ جس کا وعدہ ہے

Jo loh-e-azal pe likha hai
جو لوحِ ازل پہ لکھا ہے

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaan
جب ظلم و ستم کے کوہِ گراں

Roi ki tarah udd jaayenge
روئی کی طرح اُڑ جائیں گے

Hum mahkoomon ke paaon tale
ہم محکوموں کے پاؤں تلے

Yeh dharti dhar dhar dharkay gi
یہ دھرتی دھڑ دھڑ دھڑکے گی

Aur ahl-e-hukm ke sar upar
اور اہلِ حکم کے سر اوپر

Jab bijli kad kad kadkay gi
جب بجلی کڑ کڑ کڑکے گی

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Jab arz-e-Khuda ke Kaaba se
جب ارضِ خدا کے کعبہ سے

Sab but uthwaaye jaayenge
سب بُت اُٹھوائے جائیں گے

Hum ahl-e-safa mardood-e-haram
ہم اہلِ صفا مردودِ حرم

Masnad par bithaaye jaayenge
مسند پر بٹھائے جائیں گے

Sab taaj uchhaale jaayenge
سب تاج اُچھالے جائیں گے

Sab takht giraaye jaayenge
سب تخت گرائے جائیں گے

Bas naam rahega Allah ka
بس نام رہے گا اللہ کا

Jo ghaib bhi hai haazir bhi
جو غائب بھی ہے، حاضر بھی

Jo manzar bhi hai naazir bhi
جو منظر بھی ہے، ناظر بھی

Uthay ga Inqilab ka naara 
اُٹھے گا انالحق کا نعرہ

Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
جو میں بھی ہوں اور تم بھی ہو

Aur raaj karegi khalq-e-Khuda
اور راج کرے گی خلقِ خدا

Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
جو میں بھی ہوں اور تم بھی ہو

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
لازم ہے کہ ہم بھی دیکھیں گے

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے


Hum dekhen ge
Hum dekhenge

Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon

Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon
رُو برو وہ ہے، عبادت کر رہا ہوں

Us ke chehre ki tilaawat kar raha hoon
اُس کے چہرے کی تلاوت کر رہا ہُوں

Lo khareedo ik nazar ke mol mujh ko
لو خریدو اِک نظر کے مول مجھ کو

Apni qeemat mein ri’ayat kar raha hoon
اپنی قیمت میں رعایت کر رہا ہُوں

Li hai zabt ne mujh se ijaazat
لی ہے ضبط نے مجھ سے اجازت

Apne mehmaanon ko rukhsat kar raha hoon
اپنے مہمانوں کو رخصت کر رہا ہوں

Chhin gaya mulk-e-jawani bhi to kya gham
چِھن گیا مُلکِ جوانی بھی تو کیا غم

Ab bhi yaadon par hukoomat kar raha hoon
اب بھی یادوں پر حکومت کر رہا ہوں

Us ne to bas ek zara si baat chheddi
اُس نے تو بس اک ذرا سی بات چھیڑی

Main wazaahat par wazaahat kar raha hoon
میں وضاحت پر وضاحت کر رہا ہوں


Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon
Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon

Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti

Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti
جدائی میرا تو نقصان کر نہیں سکتی

Hamare paas to kuch bhi nahi hai khone ko
ہمارے پاس تو کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو

Main chahta bhi yahi tha ke tu chala jaye
میں چاہتا بھی یہی تھا کہ تُو چلا جائے

Main chahta tha mile kuch mujhe bhi rone ko
میں چاہتا تھا ملے کچھ مجھے بھی رونے کو


Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti
Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti

Chara gaar, aye dil-e-betaab

Chaara-gar, ae dil-e-betaab! kahan aate hain
چارہ گر، اے دلِ بے تاب! کہاں آتے ہیں
Mujh ko khush rehne ke aadaab kahan aate hain
مجھ کو خوش رہنے کے آداب کہاں آتے ہیں
Main to yak-musht usey sonp doon sab kuch, lekin
میں تو یک مُشت اُسے سونپ دُوں سب کچھ، لیکن
Ek mutthi mein, mere khwab kahan aate hain
ایک مُٹّھی میں، مِیرے خواب کہاں آتے ہیں
Muddaton baad usey dekh ke, dil bhar aaya
مُدّتوں بعد اُسے دیکھ کے، دِل بھر آیا
Warna, sehraon mein sailaab kahan aate hain
ورنہ، صحراؤں میں سیلاب کہاں آتے ہیں
Meri be-dard nigaahon mein, agar bhoole se
میری بے درد نِگاہوں میں، اگر بُھولے سے
Neend aayi bhi to, ab khwab kahan aate hain
نیند آئی بھی تو، اب خواب کہاں آتے ہیں
Tanha rehta hoon main din bhar, bhari duniya mein Qateel
تنہا رہتا ہُوں میں دِن بھر، بَھری دُنیا میں قتیل
Din bure hon, to phir ahbaab kahan aate hain
دِن بُرے ہوں، تو پھر احباب کہاں آتے ہیں


Chara gaar, aye dil-e-betaab


English

« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑