Tag: urdupoetry (Page 2 of 42)

Marahil-e-shauq ke dushwaar hua karte hain

Marahil-e-shauq ke dushwaar hua karte hain
مرحلے شوق کے دُشوار ہُوا کرتے ہیں
Saaye bhi raah ki deewaar hua karte hain
سائے بھی راہ کی دیوار ہُوا کرتے ہیں
Woh jo sach bolte rehne ki qasam khaate hain
وہ جو سچ بولتے رہنے کی قسم کھاتے ہیں
Woh adalat mein gunahgaar hua karte hain
وہ عدالت میں گُنہگار ہُوا کرتے ہیں
Sirf haathon ko na dekho kabhi aankhein bhi paro
صرف ہاتھوں کو نہ دیکھو کبھی آنکھیں بھی پڑھو
Kuch sawaali bade khuddaar hua karte hain
کچھ سوالی بڑے خودار ہُوا کرتے ہیں
Woh jo pathar yunhi raste mein paday rehte hain
وہ جو پتھر یونہی رستے میں پڑے رہتے ہیں
Un ke seene mein bhi shahkaar hua karte hain
اُن کے سینے میں بھی شہکار ہُوا کرتے ہیں
Subah ki pehli kiran jin ko rula deti hai
صبح کی پہلی کرن جن کو رُلا دیتی ہے
Woh sitaaron ke azaadaar hua karte hain
وہ ستاروں کے عزادار ہُوا کرتے ہیں
Jin ki aankhon mein sada pyaas ke sehra chamken
جن کی آنکھوں میں سدا پیاس کے صحرا چمکیں
Dar haqeeqat wohi fankaar hua karte hain
در حقیقت وہی فنکار ہُوا کرتے ہیں
Sharm aati hai ke dushman kise samjhein mohsin
شرم آتی ہے کہ دُشمن کِسے سمجھیں محسن
Dushmani ke bhi to mayaar hua karte hain
دُشمنی کے بھی تو معیار ہُوا کرتے ہیں


Marahil-e-shauq ke dushwaar hua karte hain

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke
مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے

Ja chuka chaand samundar se kinaara kar ke
جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے

Tajurba aik hi ibrat ke liye kaafi tha
تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا

Main ne dekha hi nahin ishq dobaara kar ke
میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے


Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Koi umeed bar nahi oati

Koi umeed bar nahi aati
کوئی امید بر نہیں آتی
Koi soorat nazar nahi aati
کوئی صورت نظر نہیں آتی
Maut ka ek din mu’ayyan hai
موت کا ایک دن معین ہے
Neend kyun raat bhar nahi aati
نیند کیوں رات بھر نہیں آتی
Aage aati thi haale dil pe hansi
آگے آتی تھی حالِ دل پہ ہنسی
Ab kisi baat par nahi aati
اب کسی بات پر نہیں آتی
Jaanta hoon sawab-e-ta’at o zuhd
جانتا ہوں ثوابِ طاعت و زہد
Par tabiyat udhar nahi aati
پر طبیعت ادھر نہیں آتی
Hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
ہے کچھ ایسی ہی بات جو چپ ہوں
Warna kya baat karna nahi aati
ورنہ کیا بات کرنا نہیں آتی
Kyun na cheekhoon ke yaad karte hain
کیوں نہ چیخوں کہ یاد کرتے ہیں
Meri awaaz gar nahi aati
میری آواز گر نہیں آتی
Daagh-e-dil gar nazar nahi aata
داغِ دل گر نظر نہیں آتا
Boo bhi ae chaarah-gar nahi aati
بو بھی اے چارہ گر نہیں آتی
Hum wahan hain jahan se hum ko bhi
ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی
Kuch hamaari khabar nahi aati
کچھ ہماری خبر نہیں آتی
Marte hain aarzu mein marne ki
مرتے ہیں آرزو میں مرنے کی
Maut aati hai par nahi aati
موت آتی ہے پر نہیں آتی
Kaabe kis munh se jaaoge Ghalib
کعبے کس منہ سے جاؤ گے غالب
Sharm tum ko magar nahi aati
شرم تم کو مگر نہیں آتی


Koi umeed bar nahi aati
Koi umeed bar nahi aati

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
تسکین نہ ہو جس سے وہ راز بدل ڈالو
Jo raaz na rakh paaye humraaz badal daalo
جو راز نہ رکھ پائے، ہمراز بدل ڈالو
Tum ne bhi suni ho gi badi aam kahawat hai
تم نے بھی سنی ہو گی بڑی عام کہاوت ہے
Anjaam ka jo ho khatra aaghaz badal daalo
انجام کا جو ہو خطرہ ، آغاز بدل ڈالو
Pursoz dilon ko jo muskaan na de paaye
پُرسوز دِلوں کو جو مسکان نہ دے پائے
Sur hi na mile jis saaz mein woh saaz badal daalo
سُر ہی نہ مِلے جس ساز میں ، وہ ساز بدل ڈالو
Dushman ke iraadon ko hai zaahir agar karna
دشمن کے ارادوں کو ہے ظاہر اگر کرنا
Tum khel wohi khelo andaaz badal daalo
تم کھیل وہی کھیلو ، انداز بدل ڈالو
Ae dost karo himmat kuch door savera hai
اے دوست کرو ہمت، کچھ دُور سویرا ہے
Agar chahte ho manzil to parwaaz badal daalo
اگر چاہتے ہو منزل ، تو پرواز بدل ڈالو


Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin

Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
راستوں سے کیا گلہ ہے جو منزل یہاں نہیں

Jis paar tha utarna woh saahil yahan nahin
جس پار تھا اترنا وہ ساحل یہاں نہیں

Maana wohi hai sheher wohi bheer bhaar hai
مانا وہی ہے شہر، وہی بھیڑ بھاڑ ہے

Jis ko meri talaash woh mehfil yahan nahin
جس کو میری تلاش، وہ محفل یہاں نہیں

Laazim humein pe kyun hai har ek khwaab dekhna
لازم ہمیں پہ کیوں ہے، ہر اک خواب دیکھنا

Kyun hum kisi ke khwab ka haasil yahan nahin
کیوں ہم کسی کے خواب کا حاصل یہاں نہیں

Mumkin kahan hai aur ki ab justuju karun
ممکن کہاں ہے اور کی اب جستجو کروں

Jab ek nazar ke bhi koi qabil yahan nahin
جب اک نظر کے بھی کوئی قابل یہاں نہیں

Tum aur tumhare baad yeh aasaniyan huein
تم اور تمہارے بعد یہ آسانیاں ہوئیں

Ab aur koi bhi humein mushkil yahan nahin
اب اور کوئی بھی ہمیں مشکل یہاں نہیں

Kaise kahun yeh jhoot ke seene mein dil nahin
کیسے کہوں یہ جھوٹ کہ سینے میں دل نہیں

Yeh bhi hai sach woh pehli si halchal yahan nahin
یہ بھی ہے سچ، وہ پہلی سی ہلچل یہاں نہیں

Neendon ko hum se bichhde zamane guzar gaye
نیندوں کو ہم سے بچھڑے زمانے گزر گئے

Yaadon se aaj kehna woh ghaafil yahan nahin
یادوں سے آج کہنا وہ غافل یہاں نہیں

Jo bhi yahan pe nikla mohabbat ko baantne
جو بھی یہاں پہ نکلا محبت کو بانٹنے

Darya mein phaink aaya ke saail yahan nahin
دریا میں پھینک آیا کہ سائل یہاں نہیں

Abrak uthho chalo kahin dete hain aur jaan
ابرک، اٹھو، چلو کہیں دیتے ہیں اور جاں

To jis ko dhoondhta hai woh qaatil yahan nahin
تو جس کو ڈھونڈتا ہے وہ قاتل یہاں نہیں


Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin

Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha

Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha
پطرس بخاری کو کالج کا چوکیدار گالیاں دیتا تھا

Lekin woh jawab nahi dete thay
لیکن وہ جواب نہیں دیتے تھے

Ek din saathi professor ne kaha ke chowkidar kehta hai
ایک دن ساتھی پروفیسر نے کہا کہ چوکیدار کہتا ہے

Ke Patras mera kuch nahi bigaarr sakta
کہ پطرس میرا کچھ نہیں بگاڑ سکتا

Patras ne kaha ke woh theek keh raha hai
پطرس نے کہا کہ وہ ٹھیک کہہ رہا ہے

Us ke paas na daulat hai na shohrat aur na hi izzat hai
اس کے پاس نہ دولت ہے، نہ شہرت اور نہ ہی عزت ہے

Main uska kya bigaarr sakta hoon
میں اس کا کیا بگاڑ سکتا ہوں


Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha
Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha

Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon

Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon
رُو برو وہ ہے، عبادت کر رہا ہوں

Us ke chehre ki tilaawat kar raha hoon
اُس کے چہرے کی تلاوت کر رہا ہُوں

Lo khareedo ik nazar ke mol mujh ko
لو خریدو اِک نظر کے مول مجھ کو

Apni qeemat mein ri’ayat kar raha hoon
اپنی قیمت میں رعایت کر رہا ہُوں

Li hai zabt ne mujh se ijaazat
لی ہے ضبط نے مجھ سے اجازت

Apne mehmaanon ko rukhsat kar raha hoon
اپنے مہمانوں کو رخصت کر رہا ہوں

Chhin gaya mulk-e-jawani bhi to kya gham
چِھن گیا مُلکِ جوانی بھی تو کیا غم

Ab bhi yaadon par hukoomat kar raha hoon
اب بھی یادوں پر حکومت کر رہا ہوں

Us ne to bas ek zara si baat chheddi
اُس نے تو بس اک ذرا سی بات چھیڑی

Main wazaahat par wazaahat kar raha hoon
میں وضاحت پر وضاحت کر رہا ہوں


Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon
Roo-ba-roo woh hai ibaadat kar raha hoon

Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti

Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti
جدائی میرا تو نقصان کر نہیں سکتی

Hamare paas to kuch bhi nahi hai khone ko
ہمارے پاس تو کچھ بھی نہیں ہے کھونے کو

Main chahta bhi yahi tha ke tu chala jaye
میں چاہتا بھی یہی تھا کہ تُو چلا جائے

Main chahta tha mile kuch mujhe bhi rone ko
میں چاہتا تھا ملے کچھ مجھے بھی رونے کو


Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti
Judai mera to nuqsaan kar nahi sakti

« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑