Tag: sadpoetry (Page 2 of 3)

Tanha raaton mein

Tanha raaton mein yahi hai mashgala apna,

Laga key taik takiye sey ussey bus sochtey rehna…


تنہا راتوں میں یہی ہے مشغلہ اپنا

لگا کے ٹیک تکیے سے اسے بس سوچتے رہنا


Tanha raaton mein

jis key khayal sey

Jis key khayal sey labon pey tabasum ajaye,

Haaye kya aalam ho agar wo robaro aajaye…


جس کے خیال سے لبوں پے تبسم آجاۓ

ہاے کیا عالم ہو اگر وہ روبرو آجاۓ


jis key khayal sey

kuch tum ko bhi aziz

Kuch tum ko bhi aziz hain apney sabhi asool,

kuch hum bhi itafaq sey zidd key mareez hain…


کچھ تم کو بھی عزیز ہیں اپنے سبھی اصول

کچھ ہم بھی اتفاق سے ضد کے مریض ہیں


person pouring tea in white ceramic mug

Aik zarorat

Aik zarorat teri dheleez pey ley aayi hai,

Waqat aya hai ye kesa meri khudari per…


اک ضرورت تیری دہلیز پہ لے آئی ہے

‏وقت آیا ہے یہ کیسا میری خودار ی پر


aik zarorat

Mujh ko paani mein utarney

Mujh ko paani mein utarney ka ishara kar key,

Jaa chuka chaand samandar sey kinara kar key,

Tajurba aik he aibrat key lye kafi tha,

Mein ney dekha he nahin ishq dobara kar key…


مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے

جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے

تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا

میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے .


Mujh ko paani mein utarney

Sazish nahi karta

Lehron sey lara karta hoon mein darya mein utar kar,

Sahil pey kharey ho kar sazish nahin karta…


لہروں سے لڑا کرتا ہوں میں دریا میں اتر کر

ساحل پہ کھڑے ہو کر سازش نہیں کرتا


Sazish nahi karta

Thokrein zehr to nahi

Aik na aik din to tumhe pa he lein gein,

Thokrein zehr to nahin jo kha kar mar jaen gein…


ایک نہ ایک دن تو تمہیں پا ہی لیں گے

ٹھوکریں زہر تو نہیں جو کھاکر مر جائیں گے


Thokrein zehr to nahi

Umar bhar rahey teri

Umar bhar rahey teri justaju mein hum,

Tu na mila kisi kafir ko janat ki traha…


عمر بھر رہے تیری جستجو میں ہم

تو نہ مِلا کسی کافر کو جنت کی طرح


Umar bhar rahey teri

Kuffey key bad…

Kuffey key bad aesi hawa dil mein chal pari,

Hum ney kisi bhi khat pey bhrosa nahin kiya…


کوفے کے بعد ایسی ھوا دل میں چل پڑی

ھم نے کسی بھی خط پہ بھروسہ نھیں کیا



Sahi waqat per karwa dein gey hudood ka ahsaas

Sahi waqat per karwa dein gey hudood ka ahsaas,

Kuch taalaab khud ko samundar samjh bethey hain…


سہی وقت پر کروا دینگے حدود کا احساس

کچھ تلاب خود کو سمندر سمجھ بیٹھے ہیں


Sahi waqat per karwa dein gey hudood ka ahsaas

« Older posts Newer posts »