Tag: poetrytime (Page 2 of 3)

Ye jo raqs hai mera…

یہ جو رقص ہے میرا فرش پر ،یہی لے اڑا مجھے عرش پر

میری ذات میں جو دھمال ہے ، تیرے عشق کا کمال ہے

Ye jo raqs hai mera farsh per,yahi ley udda mujhey arsh per,

Meri zaat mein jo dhamal hai,terey ishq ka kamal hai…

Ameer-e-shehr…

امیر شہر کا لہجہ مجھے منظور نہیں

اسے ضرور یہ کہنا اپنی حد میں رہے

Ameer-e-shehr ka lehja mujhey manzoor nahin,

Usey zaroor ye kehna, apni had mein rahey…

Tareekh hazaroon salon mein…

تاریخ ہزاروں سالوں میں بس اتنی سی بدلی ہے

تب دور تھا پتھر کا اب لوگ ہیں پتھر کے

Tareekh hazaroon saloon mein bus itni si badali hai,

Tab dour tha pathar ka aab log hain pathar key….

Raabtey bhi rakhta hoon..

رابطے بھی رکھتا ہوں ،راستے بھی رکھتا ہوں

لوگوں سے بھی ملتا ہوں ، فاصلے بھی رکھتا ہوں

Raabtey bhi rakhta hoon,raastey bhi rakhta hoon,

Logon sey bhi milta hoon,fasiley bhi rakhta hoon…

Daleel na thi na koyi hawala tha…

دلیل نہ تھی نہ کوئی حوالہ تھا ان کے پاس

عجیب لوگ تھے بس اختلاف رکھتے تھے

Daleel na thi na koi hawala tha un key paas,

Ajeeb log they bus ikhtilaf rakhtey they…

phir yun huya…

پھر  یوں ہوا  کہ ایک دوسرے کو تکتے رہے دیر تک

 وہ اندازے بیان سے قاصر ، میں لفظے  ابتدا سے عاجز 

Phir yun huya key,ek dosrey ko taktey rahey der tak,

Wo andazey bayan sey qasir , mein lafzey ibtida sey aajiz…

Shayiri likh raha tha…

شاعری لکھ رہا تھا غریبی پر

قلم ہی فروخت کرنا پڑا آخر

Shayiri likh raha tha gareebi par,

Qalam he farokht karna para akhir…

Terey karam ki khatir…

ایک تیرے کرم کی خاطر روز محشر پہ یا رب

میں گناہ لایا ہوں اور بے حساب لایا ہوں

Aik terey karam ki khatir roz-e-mehshar pey yaa rab,

Mein ghunah laaya hoon be-hisaab laaya hoon…

Khud-ba-khud chorh gaye hain…

خود بہ خود چھوڑ گئے ہیں تو چلو ٹھیک ہوا

اتنے احباب کہاں ہم سے سمبھالے جاتے

ہم بھی غالب کی طرح کونچہ عہ جاناں سے محسن

نہ نکلتے تو کسی روز نکالے جاتے

Khud-ba-khud chorh gaye hain to chalo theek hua,

Itney ahbab kahan hum sey sambhaley jaatey,

Hum bhi Ghalib ki tarahan koncha-e-janan sey Muhsin,

Na nikaltey to kisi roz nikaley jaatey…

Aik firoon ka ronaa nahin…

ایک فروں کا رونا نہیں ہے میرے لیے

میں نے ہر شخص کے تیور میں خدا دیکھا ہے

Aik firoon ka ronaa nahin hai merey liye,

Mein ney har shakhs key tewar mein khuda dekha hai…

« Older posts Newer posts »