Tag: poetrytime (Page 1 of 3)

Terey takabur sey ziada gustakh hai lehja

Terey takabur sey ziada gustakh hai lehja mera,

Mera zarf na aazma mujhey khamosh rehney dey


تیرے تکبر سے زیادہ گستاخ ہے لہجہ میرا

میرا ظرف نہ آزما مجھے خاموش رہنے دے


Terey takabur sey ziada gustakh hai lehja mera

Hum ne takheer sey sekhey hain muhabat

Hum ne takheer sey sekhey hain muhabat key asool,

Hum pey lazim hai thora ishq dobara kar lein…


ہم نے تاخیر سے سیکھے ہیں محبت کے اصول

ہم پہ لازم ہے تھوڑا عشق دوبارہ کر لیں


Hum ne takheer sey sekhey hain muhabat key asool

Ye soch kar ke wo…

Ye soch kar key wo kharki se jhank le shayad,

Gali mein khelte bache lara diye mein ne…

یہ سوچ کر کہ وہ کھڑکی سے جھانک لے شاید

گلی میں کھیلتے بچے لڑا دئیے میں نے

mujhey hukum hua …

Mujhey hukum hua kuch or mang uss ke siwa,

Mein dast-e-talab se uth gaya mujhe talab nahin kisi or ki

مجھے حکم ہوا کچھ اور مانگ اس کے سوا

میں دست طلب سے اٹھ گیا مجھے طلب نہیں کسی اور کی

Heeran hoon ke aik bhi..

Heeran hoon ke aik bhi ghawahi na mil saki,

Halanke aik hujoom mein maara gaya mujhe

حیران ہوں کہ ایک بھی گواہی نہ مل سکی

حالانکہ ایک ہجوم میں مارا گیا مجھے

Aik raat wo gaya tha..

Aik raat wo gaya tha jahan baat rok key,

Ab tak ruka huwa hoon wahin raat rok key …

ایک رات وہ گیا تھا جہاں بات روک کے

اب تک رکا ہوا ہوں وہیں رات روک کے

Aik saya mera mesiha tha…

Aik saya mera mesiha tha,

Kon jaaney, wo kon tha, kya tha…

ایک سایہ میرا مسیحا تھا

کون جانے ،وہ کون تھا ،کیا تھا

Wo koyi dost tha..

Wo koyi dost tha achey dono ka,

Jo pichli raat sey yaad aa raha hai…

وہ کوئی دوست تھا اچھے دونوں کا

جو پچھلی رات سے یاد آ رہا ہے

be khudi be sabab nahin..

Be khudi be sabab nahin Ghalib,

Kuch to hai jis ki parda dari hai…


بے خودی بے سبب نہیں غالب

کچھ تو ہے جس کی پردہ داری ہے

Khush fehmiyun key silsily…

Khush fehmiyun key silsily itney daraz hain,

Har eent sochti hai dewar mujh sey hai…

خوش فہمیوں کے سلسلے اتنے دراز ہیں

ہر اینٹ سوچتی ہے دیوار مجھ سے ہے

« Older posts