Tag: poetrycollection (Page 1 of 32)

Chalo Mohsin mohabbat ki nai bunyaad rakhte hain

Chalo Mohsin mohabbat ki nai bunyaad rakhte hain
چلو محسن محبت کی نئی بنیاد رکھتے ہیں

Khud paband rehte hain usay azaad rakhte hain
خود پابند رہتے ہیں اُسے آزاد رکھتے ہیں


Hamare khoon mein Rab ne yahi taseer rakhi hai
ہمارے خون میں رب نے یہی تاثیر رکھی ہے

Burai bhool jaate hain, achhai yaad rakhte hain
برائی بھول جاتے ہیں، اچھائی یاد رکھتے ہیں


Mohabbat mein kahin hum se gustakhi na ho jaaye
محبت میں کہیں ہم سے گستاخی نہ ہوجائے

Hum apna har qadam us ke qadam ke baad rakhte hain
ہم اپنا ہر قدم اُس کے قدم کے بعد رکھتے ہیں


Chalo Mohsin mohabbat ki nai bunyaad rakhte hain
Chalo Mohsin mohabbat ki nai bunyaad rakhte hain

Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool

Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool
کچھ تم کو بھی عزیز ہیں اپنے سبھی اصول

Kuch hum bhi ittifaq se zid ke mareez hain
کچھ ہم بھی اتفاق سے ضد کے مریض ہیں


Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool
Kuch tum ko bhi azeez hain apne sabhi usool

Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen

Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen
میں چھوڑ کر انہی راہ تکتی اداس آنکھیں

Jo bach gaye the woh khwab le kar chala gaya
جو بچ گئے تھے وہ خواب لے کر چلا گیا

Jis par main ne mohabbatوں ki wahi likhi thi
جس پر میں نے محبتوں کی وحی لکھی تھی

Woh ek mamnoo kitaab le kar chala gaya
وہ ایک ممنوع کتاب لے کر چلا گیا

Bas ek ajal ko suna gaya hoon jo daastan thi
بس ایک اجل کو سنا گیا ہوں جو داستاں تھی

Main zindagi se hisaab le kar chala gaya
میں زندگی سے حساب لے کر چلا گیا

Main qafilon ko dekha gaya nishaan-e-manzar
میں قافلوں کو دیکھا گیا نشانِ منظر

Main raaston ke saraab le kar chala gaya
میں راستوں کے سراب لے کر چلا گیا

Unhein kaho main dhoondhne se nahi miloonga
انہیں کہو میں ڈھونڈنے سے نہیں ملوں گا

Main gard-e-raah ki khaak le kar chala gaya
میں گردِ راہ کی خاک لے کر چلا گیا


Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen
Main chhor kar unhi raah takti udaas aankhen

Khuda ke doston ki andheri raat

Khuda ke doston ki andheri raat bhi roz roshan ki tareh chamkti hai

…خدا کے دوستوں کی اندھیری رات بھی روز روشن کی  طرح چمکتی ہے

~ahman


Khuda ke doston ki andheri raat bhi roz roshan ki tareh chamkti hai
Khuda ke doston ki andheri raat bhi roz roshan ki tareh chamkti hai

Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai

Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai
یہ طلوعِ روزِ ملال ہے

So gila bhi kis se karein ge hum
سو گلہ بھی کس سے کریں گے ہم

Koi dilruba, koi dil-shikan
کوئی دلرُبا، کوئی دل شِکن

Koi dil-figaar kahan raha
کوئی دل فِگار کہاں رہا


Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai
Yeh tulu-e-roz-e-malaal hai

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke
مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے

Ja chuka chaand samundar se kinaara kar ke
جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے

Tajurba aik hi ibrat ke liye kaafi tha
تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا

Main ne dekha hi nahin ishq dobaara kar ke
میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے


Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
تسکین نہ ہو جس سے وہ راز بدل ڈالو
Jo raaz na rakh paaye humraaz badal daalo
جو راز نہ رکھ پائے، ہمراز بدل ڈالو
Tum ne bhi suni ho gi badi aam kahawat hai
تم نے بھی سنی ہو گی بڑی عام کہاوت ہے
Anjaam ka jo ho khatra aaghaz badal daalo
انجام کا جو ہو خطرہ ، آغاز بدل ڈالو
Pursoz dilon ko jo muskaan na de paaye
پُرسوز دِلوں کو جو مسکان نہ دے پائے
Sur hi na mile jis saaz mein woh saaz badal daalo
سُر ہی نہ مِلے جس ساز میں ، وہ ساز بدل ڈالو
Dushman ke iraadon ko hai zaahir agar karna
دشمن کے ارادوں کو ہے ظاہر اگر کرنا
Tum khel wohi khelo andaaz badal daalo
تم کھیل وہی کھیلو ، انداز بدل ڈالو
Ae dost karo himmat kuch door savera hai
اے دوست کرو ہمت، کچھ دُور سویرا ہے
Agar chahte ho manzil to parwaaz badal daalo
اگر چاہتے ہو منزل ، تو پرواز بدل ڈالو


Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
« Older posts

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑