Tag: islamicpoetry

Dil mein bugz, pait mein haram…

Dil mein bugz, pait mein haram our tawaf pey tawaf,

Ka’ba khud chakar mein hai key yeh log kis chakar mein hain…

دل میں بغض ،پیٹ میں حرام ، اور طواف پہ طواف

کعبہ خود چکر میں ہے کہ یہ لوگ کس چکر میں ہیں

Be daam hi bik jaon…

Be daam hi bik jaon, baazar-e-NABI (S.A.A.W) mein,

Is shaan ke sudon mein khasare nahin hote…

بے دام ہی بک جاؤں ، بازار نبی (صہ ) میں

اس شان کے سودوں میں خسارے نہیں ہوتے

Ghuror toot gaya magar koi martaba na mila…

Ghuror toot gaya magar koi martaba na mila,

Sitam ke bad bhi kuch hasil-e-jafa na mila,

Sar-e- Hussain (a.s) mila hai yazeed ko lekin,

Shikast ye hai phir bhi jhuka hua na mila

غرور ٹوٹ گیا مگر کوئی مرتبہ نہ ملا

ستم کے بعد بھی کچھ حاصل جفا نہ ملا

سر حسین (ع) ملا ہے یزید کو لیکن

شکست یہ ہے پھر بھی جھکا ہوا نہ ملا

Aik pal ki thi bus hukumat yazeed ki..

Aik pal ki thi bus hukumat yazeed ki,

Sadiyan Hussain ki hain zamana Hussain ka…

ایک پل کی تھی بس حکومت یزید کی

صدیاں حسین (ع) کی ہے زمانہ حسین (ع) کا

Har ibtida sey pehle…

ہر ابتدا سے پہلے ،ہر انتہا کے بعد

ذات نبی بلند ہے ،ذات خدا کے بعد

دنیا میں احترام کے قابل ہیں جتنے بھی لوگ

میں سب کو مانتا ہوں مگر مصطفیٰ (صہ)کے بعد

Har ibtida sey pehley,har inteha key baad,

Zaat-e-nabi buland hai, zaat-e-khuda key baad,

Dunia mein ahteram key Qabil hain jitney bhi log,

Mein sub ko manta hoon,magar MUSTAFHA(s.a.w.w) key baad…