تمہارا تو بس ہواؤں پہ شق گیا ہوگا
چراغ خود بھی تو جل جل کہ تھک گیا ہوگا
Tumhara to bus hawaon pe shaq gaya hoga,
Charagh khud bhi to jal jal ke thak gaya hoga…
Mein udass raasta hoon shaam ka,mujhey aahtoon ki talash hai,
Ye raastey hain saarey bujhey bujhey,mujhey jhugnuon ki talah hai,
Wo jo aik dariya tha aagh ka,wo to raaston sey guzar gaya,
Mujhey kab sey rait key shehr mein,nayi barishon ki talash hai…
میں اداس راستہ ہوں شام کا، مجھے آہٹوں کی تلاش ہے
یہ راستے ہیں سارے بجھےبجھے ، مجھے جگنوؤں کی تلاش ہے
وہ جو ایک دریا تھا آگ کا ،وہ تو راستوں سے گزر گیا
مجھے کب سے ریت کے شہر میں، نئی بارشوں کی تلاش ہے
Laga kar aagh shehr ko ye badshah ney kaha,
Otha hai dil mein tamashey ka aaj shoq bhut,
Jhuka key sar ko sabhi shah parsat bol othey,
Huzor ka shoq salamat rahey,shehr our bhi bhut
لگا کر آگ شہر کو یہ بادشاہ نے کہا
اٹھا ہے دل میں تماشے کا آج شوق بہت
جھکا کے سر کو سبھی شاہ پرست بول اٹھے
حضور کا شوق سلامت رہے ،شہر اور بہت
© 2025 EAGLE SITE
Theme by Anders Noren — Up ↑