Tag: facebookstatuspoetry (Page 2 of 6)

Umar bhar hum yun hi….

عمر بھر ہم یوں ہی غلطی کرتے رہے غالب

دھول چہرے پہ تھی اور ہم آئینہ صاف کرتے رہے

Umar bhar hum yun he ghalati kartey rahey Ghalib,

Dhool chehrey pe thi our hum aaeina saaf kartey rahey…

Sawab ki khatir…

یہ دنیا مطلب کی ہے تم کس مخلص کی بات کرتے ہو غالب

لوگ جنازہ پڑھنے آتے ہیں وہ بھی ثواب کی خاطر

Ye duniya matlab ki hai,tum kis mukhlis ki baat kartey ho Ghalib,

Log janaza parhney aatey hain,wo bhi sawab ki khatir…

Tehzeeb ki misaal…

تہذیب کی مثال غریبوں کے گھر پہ ہے

دو پٹا پھٹا ہوا ہے پر ان کے سر پہ ہے

Tehzeeb ki misal gareebon key ghar pey hai,

Dopata phata huya hai,par un key sar pey hai..

yahi nighahein…

سلیقہ تم نے پردے کا بڑا انمول رکھا ہے

یہی نگاہیں قاتل ہیں اور انہیں ہی کھول رکھا ہے

Saleeqa tum ney pardey ka bara anmol rakha hai,

Yahi nighaein qatil hain,our inhein he khol rakha hai…

Gurbat na dey saki…

غربت نہ دے سکی میرے ضمیر کو شکست

جھک کر کسی امیر سے ملتا نہیں ہوں میں

Gurbat na dey saki merey zameer ko shikast,

Jhuk kar kisi ameer sey milta nahin hoon mein…

kya haal pochtey ho…

کیا حال پوچھتے ہو میرے کاروبار کا

آئینے بیچتا ہوں ، اندھوں کے شہر میں

Kya haal pochtey ho merey karobar ka,

Aaeiney bechta hoon,andhon key shehr mein..

Ilahi aabru rakhna…

الہی آبرو رکھنا ، بڑا نازک زمانہ ہے

دلوں میں کفر رکھتے ہیں ، بظاھر دوستانہ ہے

Ilahi aabru rakhna,bara nazuk zamana hai,

Dilon mein kufr rakhtey hain, bazahir dostana hai…

kitna dushwaar hai….

کتنا دشوار ہے فطرت کا بدلنا یوسف

لوگ کعبہ گئے ، اور دل سے برائی نہ گیی

Kitna dushwaar hai,fitrat ka badalna yusif,

Log kaba gaye ,our dil sey burai na gayi…

Abhi dastaan baaqi hai…

وہ پیش لفظ تھا جس نے رلا دیا تجھے

سمبھال خود کو ، ابھی داستان باقی ہے

Wo pesh lafz tha,jis ney rula diya tujhey,

Sambhal khud ko, abi daastan baki hai…

Merey shoq ki yahin laaj rakh….

میرے شوق کی یہیں لاج رکھ

وہ جو طور ہے بہت دور ہے

Merey shoq ki yahin laaj rakh,

Wo jo toor hai bhut door hai…

« Older posts Newer posts »