Tag: DIL

Dil na umeed to nahin, nakaam hi to hai

Dil na umeed to nahin na kaam hi to hai,

Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai…


دل نا امید تو نہیں نا کام ہی تو ہے

لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے


Dil na umeed to nahin na kaam hi to hai

Aaj chup hain wo bolti ankhein..

Aaj chup hain wo bolti ankhein,

Baat dil par koyi lagi hogi…

آج چپ ہیں وہ بولتی آنکھیں

بات دل پر کوئی لگی ہوگی

Log shamil they our bhi lekin..

Log shamil they our bhi lekin,

Dil teri koshishon sey toota hai…

لوگ شامل تھے اور بھی لیکن

دل تیری کوششوں سے ٹوٹا ہے

Aaj bhi khud ka intizar kiya…

Aaj bhi khud ka intizar kiya,

Jaaney kis dil mein reh gaya hoon mein…

آج بھی خود کا انتظار کیا

جانے کس دل میں رہ گیا ہوں میں

Phir dil ko ho gayi wohi rah-e-guzar aziz

Phir dil ko ho gayi wohi rah-e-guzar aziz,

Phir agaye fareeb mein hum mudaton key bad…

پھر دل کو ہو گئی وہ ہی راہ گزر عزیز

پھر آگئے فریب میں ہم مدتوں کے بعد

Bedad-e-ishQ sey nahin darta magar…

Bedad-e-ishq sey nahin darta magar ASAD,

Jis dil pey naaz tha wo dil nahin raha…

بیداد عشق سے نہیں ڈرتا مگر اسد

جس دل پہ ناز تھا وہ دل نہیں رہا

Dil mein bugz, pait mein haram…

Dil mein bugz, pait mein haram our tawaf pey tawaf,

Ka’ba khud chakar mein hai key yeh log kis chakar mein hain…

دل میں بغض ،پیٹ میں حرام ، اور طواف پہ طواف

کعبہ خود چکر میں ہے کہ یہ لوگ کس چکر میں ہیں