Skip to content

Main is liye bhi akarta nahin kamaal ke waqt

میں اس لئے بھی اکڑتا نہیں کمال کے وقت
کہ شرم سار نہ ہونا پڑے زوال کے وقت

دو اشک بھر کے ندامت سنبھال رکھی ہے
اگر جواب نہ سوجھا کوئی سوال کے وقت

سبھی کا لمحہ ء تخلیق ایک ساعتِ کُن
خدا کسی کو بناتا نہیں نکال کے وقت

میں دیکھتا ہوں ،،مدینہ ہے ،،ایک مسجد ہے
اور اس پہ خواب میں پہلی اذاں بلال کے وقت

ابھی تو زخم دیا ہے ابھی نہ دل سے اُتر
مکیں مکاں تو نہیں چھوڑتے وبال کے وقت

وہ دیکھنے میں تو عالی وقار دکھتا ہے
حسب نسب کی خبر ہو گی بول چال کے وقت

ہجوم رشک کرے گا کہ سنگ مارے گا
فقیر یہ تو نہیں سوچتا دھمال کے وقت

ڈاکٹر احمد خلیل

Main is liye bhi akarta nahin kamaal ke waqt
Ke sharm-saar na hona pare zawaal ke waqt

Do ashk bhar ke nadamat sambhaal rakhi hai
Agar jawaab na soojha koi sawaal ke waqt

Sabhi ka lamha-e-takhleeq aik sa’at-e-kun
Khuda kisi ko banata nahin nikaal ke waqt

Main dekhta hoon, Madina hai, aik masjid hai
Aur us pe khwab mein pehli azaan Bilal ke waqt

Abhi to zakhm diya hai, abhi na dil se utar
Makeen makaan to nahin chhodte wabaal ke waqt

Woh dekhne mein to aali waqaar dikhta hai
Hasab nasab ki khabar hogi bol chaal ke waqt

Hajoom rashk kare ga ke sang maare ga
Faqeer yeh to nahin sochta dhamaal ke waqt

– Dr. Ahmad Khalil

Published inPoetry

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *