Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
غم کی بارش نے بھی تیرے نقش کو دھویا نہیں

Tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi
تو نے مجھ کو کھو دیا میں نے تجھے کھویا نہیں


Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon mein tha
نیند کا ہلکا گلابی سا خمار آنکھوں میں تھا

Yoon laga jaise woh shab ko der tak soya nahi
یوں لگا جیسے وہ شب کو دیر تک سویا نہیں


Har taraf deewaar o dar aur un mein aankhon ke hujoom
ہر طرف دیوار و در اور ان میں آنکھوں کے ہجوم

Keh sake jo dil ki haalat woh lab goya nahi
کہہ سکے جو دل کی حالت وہ لب گویا نہیں


Jurm Aadmi ne kiya aur nasl-e-Aadam ko sazaa
جرم آدم نے کیا اور نسل آدم کو سزا

Kaatta hoon zindagi bhar main ne jo boya nahi
کاٹتا ہوں زندگی بھر میں نے جو بویا نہیں


Jaanta hoon ek aise shakhs ko main bhi Muneer
جانتا ہوں ایک ایسے شخص کو میں بھی منیرؔ

Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahi
غم سے پتھر ہو گیا لیکن کبھی رویا نہیں


(منیر نیازی)