Category: Diary (Page 2 of 2)

Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat

Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat
محبت دعا ہے، اور دعا محبت

To jis ne tum se mohabbat ki, woh tumhare liye dua karega
تو جس نے تم سے محبت کی، وہ تمہارے لیے دعا کرے گا

Aur jis ne tumhare liye dua ki
اور جس نے تمہارے لیے دعا کی

Us ne tum se mohabbat mein kamal kar diya
اس نے تم سے محبت میں کمال کر دیا


Anas Iqbal
انس اقبال


Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat
Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat

Mere paas nakaamī ke qissay nahīñ, mere paas tajurbāt hain.

میرے پاس ناکامی کے قصے نہیں، میرے پاس تجربات ہیں۔
Mere paas nakaami ke qissay nahi, mere paas tajurbaat hain.

انسان ہمیشہ اپنی ہی لغزشوں سے راہ پاتا ہے۔
Insaan hamesha apni hi laghzishon se raah paata hai.

میرے پاس دشمن نہیں ہیں، بلکہ سبق ہیں، جو انسانوں کی صورت میں ملے۔
Mere paas dushman nahi hain, balkay sabaq hain, jo insanoñ ki soorat mein mile.

سبق جنہوں نے مجھے سکھایا کہ ان جیسے کرداروں سے کیسے دور رہا جائے۔
Sabaq jinhon ne mujhe sikhaya keh un jaise kirdaron se kaise door raha jaaye.

میرے پاس زخم نہیں ہیں، میرے پاس نشان ہیں، یہ نشان خوب صورت یادگاریں ہیں۔
Mere paas zakhm nahi hain, mere paas nishaan hain, yeh nishaan khoobsurat yaadgaarain hain.

جو مجھے ہر لمحہ یہ یاد دلاتی ہیں کہ میں زندگی کی کڑی آزمائشوں سے کام یابی کے ساتھ گزر آیا ہوں۔
Jo mujhe har lamha yeh yaad dilati hain keh main zindagi ki kari aazmaishon se kaamyabi ke saath guzar aaya hoon.

مجھے مظلوم کی طرح جینا پسند نہیں، کیوں کہ مظلوم ہمیشہ شکوے کرتے ہیں، نوحے گاتے ہیں۔
Mujhe mazloom ki tarah jeena pasand nahi, kyunkeh mazloom hamesha shikwe karte hain, nohay gaate hain.

مجھے فاتح کی طرح جینا پسند ہے، فاتح اعتماد کی روشنی سے اپنے راستے کو روشن کرتا ہے۔
Mujhe faatih ki tarah jeena pasand hai, faatih aitimaad ki roshni se apne raste ko roshan karta hai.

جو ماضی کی دھند میں کم جھانکتا ہے اور مستقبل کی تابانیوں پر نظریں جمائے رکھتا ہے۔
Jo maazi ki dhund mein kam jhaankta hai aur mustaqbil ki taabaniyon par nazrein jamaa’e rakhta hai.


ــ ادھم شرقاوی، فلسطینی ادیب
— Adham Sharkawi, Falasteeni Adeeb

Aur achanak aik taweel safar ke baad

Aur achanak aik taweel safar ke baad

اور اچانک ایک طویل سفر کے بعد

Tum par yeh raaz khulta hai

تم پر یہ راز کھلتا ہے

Ke tumhein is zindagi mein behtareen banne ki khwahish hi nahin

کہ تمہیں اِس زندگی میں بہترین بننے کی خواہش ہی نہیں

Tumhein to bas yeh chahiye ke sukoon-e-dil ke saath baitho

تمہیں تو بس یہ چاہیے کہ سکونِ دل کے ساتھ بیٹھو

Aitidaal ki kefiyat mein raho

اعتدال کی کیفیت میں رہو

Kisi bhi cheez ki parwah na karo

کسی بھی شے کی پروا نہ کرو

Aur har cheez par dil se raazi ho jao

اور ہر چیز پر دل سے راضی ہو جاؤ


احمد خالد توفیق

Rumi

میں نے سیکھا کہ ہر بشر موت کا مزہ چکھے گا، لیکن زندگی کا مزا صرف کچھ ہی لوگ چکھتے ہیں
Main ne seekha ke har bashar maut ka maza chakhay ga, lekin zindagi ka maza sirf kuch hi log chakhte hain


— رومیؒ
— Rumi

AK BHER PORI ZINDAGI

‏ایک بھیڑ پوری زندگی بھیڑیے سے خوفزدہ رہتی ہے

‏آخر میں اسے چرواہا کھا جاتا ہے۔

~ پاؤلو کوئیلو


AK BHER PORI ZINDAGI BHERIYE SE KHOUFZADA REHTI HAI

AKHIR MEIN USE CHARWAHA KHA JATA HAI

Paulo Coelho


Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑