Category: Diary (Page 1 of 2)

Tum jaanti ho Sofia is zindagi mein mujhe sab se zyada kis cheez se dar lagta hai

Tum jaanti ho Sofia is zindagi mein mujhe sab se zyada kis cheez se dar lagta hai
تم جانتی ہو صوفیا اس زندگی میں مجھے سب سے زیادہ کس چیز سے ڈر لگتا ہے

Na beemari se na tanhaayi se na hi khud maut se
نہ بیماری سے نہ تنہائی سے نہ ہی خود موت سے

Balkay is khayaal se ke poori zindagi yun hi guzar jaye
بلکہ اس خیال سے کہ پوری زندگی یوں ہی گزر جائے

Baghair kisi haqeeqi ehsas ke baghair is baat ka idraak kiye ke main waqai zinda tha
بغیر کسی حقیقی احساس کے بغیر اس بات کا ادراک کیے کہ میں واقعی زندہ تھا

Kisi din jaag kar yeh sochna ke maine kabhi dil se nahi hansa
کسی دن جاگ کر یہ سوچنا کہ میں نے کبھی دل سے نہیں ہنسا

Deewana waar mohabbat nahi ki dard se cheekha nahi roya nahi
دیوانہ وار محبت نہیں کی درد سے چیخا نہیں رویا نہیں

Ke zindagi bas ek yaksaa silsila rahi
کہ زندگی بس ایک یکساں سلسلہ رہی

Jis mein na koi hairat thi na koi jazba na koi shiddat
جس میں نہ کوئی حیرت تھی نہ کوئی جذبہ نہ کوئی شدت

Ke meri ragoon mein zindagi hi nahi thi
کہ میری رگوں میں زندگی ہی نہیں تھی

Kya yeh asal maut nahi
کیا یہ اصل موت نہیں


The Nun – Anton Chekhov se iqtibaas
دی نون – انتون چیخوف سے اقتباس


Tum jaanti ho Sofia is zindagi mein mujhe sab se zyada
Tum jaanti ho Sofia is zindagi mein mujhe sab se zyada

Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha

Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha
پطرس بخاری کو کالج کا چوکیدار گالیاں دیتا تھا

Lekin woh jawab nahi dete thay
لیکن وہ جواب نہیں دیتے تھے

Ek din saathi professor ne kaha ke chowkidar kehta hai
ایک دن ساتھی پروفیسر نے کہا کہ چوکیدار کہتا ہے

Ke Patras mera kuch nahi bigaarr sakta
کہ پطرس میرا کچھ نہیں بگاڑ سکتا

Patras ne kaha ke woh theek keh raha hai
پطرس نے کہا کہ وہ ٹھیک کہہ رہا ہے

Us ke paas na daulat hai na shohrat aur na hi izzat hai
اس کے پاس نہ دولت ہے، نہ شہرت اور نہ ہی عزت ہے

Main uska kya bigaarr sakta hoon
میں اس کا کیا بگاڑ سکتا ہوں


Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha
Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha

Aur qudrat ne har ek ki ana ka butt torhne ke liye

Aur qudrat ne har ek ki ana ka butt torhne ke liye
اور قدرت نے ہر ایک کی انا کا بت توڑنے کے لیے

Kisi na kisi shakal mein Nooh paida kar rakha hai
کسی نہ کسی شکل میں نوح پیدا کر رکھا ہے

Kisi ke liye mohtaaji o ghurbat
کسی کے لیے محتاجی و غربت

Kisi ke liye gham aur takleef
کسی کے لیے غم اور تکلیف

Kisi ke liye khwahish, to kisi ke liye mohabbat
کسی کے لیے خواہش، تو کسی کے لیے محبت


Aur qudrat ne har ek ki ana ka butt torhne ke liye
Aur qudrat ne har ek ki ana ka butt torhne ke liye

Kisi ko zarurat mand rehne dena aur phir uski imdaad karte

“Kisi ko zarurat mand rehne dena aur phir uski imdaad karte
“کسی کو ضرورت مند رھنے دینا اور پھر اس کی امداد کرتے

rehna, ek socha samjha qatl hai.”
رھنا، ایک سوچا سمجھا قتل ھے”۔

~Che Guevara
~چی گویرا


Kisi ko zarurat mand rehne dena aur phir uski imdaad karte
Kisi ko zarurat mand rehne dena aur phir uski imdaad karte

Tajurbaat ne mujhe modabbir bana diya

Tajurbaat ne mujhe modabbir bana diya,
تجربات نے مجھے مدبر بنا دیا

Aansuoñ ne meri basaarat ko tez kar diya,
آنسوؤں نے میری بصارت کو تیز کر دیا

Aur udaasi ne mujhe dilon ki zubaan sikhai.
اور اداسی نے مجھے دلوں کی زبان سکھائی۔

➖ Jubran Khalil Jubran
➖ جبران خلیل جبران


Tajurbaat ne mujhe modabbir bana diya
Tajurbaat ne mujhe modabbir bana diya

Kisi aqalmand se poocha gaya

Kisi aqalmand se poocha gaya
کسی عقلمند سے پوچھا گیا

Aap shaour ke is darje tak kaise pohanche
آپ شعور کے اس درجے تک کیسے پہنچے

Aap ne kaun si kitaabein padhi hain
آپ نے کون سی کتابیں پڑھی ہیں

Us ne jawab diya
اس نے جواب دیا

Maine pachaas taane sahe sattar jhagre bardasht kiye
میں نے پچاس طعنے سہے ستر جھگڑے برداشت کیے

Aur kai buhranon ka samna kiya
اور کئی بحرانوں کا سامنا کیا

Apno ki nazron mein dagha dekha to ehtiyaat karna seekh liya
اپنوں کی نظروں میں دغا دیکھا تو احتیاط کرنا سیکھ لیا

Jin se mohabbat ki un ki aankhon mein zulm dekha
جن سے محبت کی ان کی آنکھوں میں ظلم دیکھا

To khamosh rehna seekh liya
تو خاموش رہنا سیکھ لیا

Qareebi doston se dhoka khaya
قریبی دوستوں سے دھوکہ کھایا

To judaai ko qubool karna seekh liya
تو جدائی کو قبول کرنا سیکھ لیا

Bahut se apno ko dafnaya
بہت سے اپنوں کو دفنایا

Aur yeh jaana ke mohabbat ko zinda rakhna chahiye
اور یہ جانا کہ محبت کو زندہ رکھنا چاہیے

Agar duniya ko samajhna hai
اگر دنیا کو سمجھنا ہے

To wahid kitaab Quran hai jiska koi ikhtitaam nahi
تو واحد کتاب قرآن ہے جس کا کوئی اختتام نہیں

Aur main jaanta hoon ke zindagi ke sabaq muft nahi milte
اور میں جانتا ہوں کہ زندگی کے سبق مفت نہیں ملتے


Kisi aqalmand se poocha gaya
Kisi aqalmand se poocha gaya

Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat

Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat
محبت دعا ہے، اور دعا محبت

To jis ne tum se mohabbat ki, woh tumhare liye dua karega
تو جس نے تم سے محبت کی، وہ تمہارے لیے دعا کرے گا

Aur jis ne tumhare liye dua ki
اور جس نے تمہارے لیے دعا کی

Us ne tum se mohabbat mein kamal kar diya
اس نے تم سے محبت میں کمال کر دیا


Anas Iqbal
انس اقبال


Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat
Mohabbat dua hai, aur dua mohabbat

Mere paas nakaamī ke qissay nahīñ, mere paas tajurbāt hain.

میرے پاس ناکامی کے قصے نہیں، میرے پاس تجربات ہیں۔
Mere paas nakaami ke qissay nahi, mere paas tajurbaat hain.

انسان ہمیشہ اپنی ہی لغزشوں سے راہ پاتا ہے۔
Insaan hamesha apni hi laghzishon se raah paata hai.

میرے پاس دشمن نہیں ہیں، بلکہ سبق ہیں، جو انسانوں کی صورت میں ملے۔
Mere paas dushman nahi hain, balkay sabaq hain, jo insanoñ ki soorat mein mile.

سبق جنہوں نے مجھے سکھایا کہ ان جیسے کرداروں سے کیسے دور رہا جائے۔
Sabaq jinhon ne mujhe sikhaya keh un jaise kirdaron se kaise door raha jaaye.

میرے پاس زخم نہیں ہیں، میرے پاس نشان ہیں، یہ نشان خوب صورت یادگاریں ہیں۔
Mere paas zakhm nahi hain, mere paas nishaan hain, yeh nishaan khoobsurat yaadgaarain hain.

جو مجھے ہر لمحہ یہ یاد دلاتی ہیں کہ میں زندگی کی کڑی آزمائشوں سے کام یابی کے ساتھ گزر آیا ہوں۔
Jo mujhe har lamha yeh yaad dilati hain keh main zindagi ki kari aazmaishon se kaamyabi ke saath guzar aaya hoon.

مجھے مظلوم کی طرح جینا پسند نہیں، کیوں کہ مظلوم ہمیشہ شکوے کرتے ہیں، نوحے گاتے ہیں۔
Mujhe mazloom ki tarah jeena pasand nahi, kyunkeh mazloom hamesha shikwe karte hain, nohay gaate hain.

مجھے فاتح کی طرح جینا پسند ہے، فاتح اعتماد کی روشنی سے اپنے راستے کو روشن کرتا ہے۔
Mujhe faatih ki tarah jeena pasand hai, faatih aitimaad ki roshni se apne raste ko roshan karta hai.

جو ماضی کی دھند میں کم جھانکتا ہے اور مستقبل کی تابانیوں پر نظریں جمائے رکھتا ہے۔
Jo maazi ki dhund mein kam jhaankta hai aur mustaqbil ki taabaniyon par nazrein jamaa’e rakhta hai.


ــ ادھم شرقاوی، فلسطینی ادیب
— Adham Sharkawi, Falasteeni Adeeb

Aur achanak aik taweel safar ke baad

Aur achanak aik taweel safar ke baad

اور اچانک ایک طویل سفر کے بعد

Tum par yeh raaz khulta hai

تم پر یہ راز کھلتا ہے

Ke tumhein is zindagi mein behtareen banne ki khwahish hi nahin

کہ تمہیں اِس زندگی میں بہترین بننے کی خواہش ہی نہیں

Tumhein to bas yeh chahiye ke sukoon-e-dil ke saath baitho

تمہیں تو بس یہ چاہیے کہ سکونِ دل کے ساتھ بیٹھو

Aitidaal ki kefiyat mein raho

اعتدال کی کیفیت میں رہو

Kisi bhi cheez ki parwah na karo

کسی بھی شے کی پروا نہ کرو

Aur har cheez par dil se raazi ho jao

اور ہر چیز پر دل سے راضی ہو جاؤ


احمد خالد توفیق

Rumi

میں نے سیکھا کہ ہر بشر موت کا مزہ چکھے گا، لیکن زندگی کا مزا صرف کچھ ہی لوگ چکھتے ہیں
Main ne seekha ke har bashar maut ka maza chakhay ga, lekin zindagi ka maza sirf kuch hi log chakhte hain


— رومیؒ
— Rumi

« Older posts

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑