Skip to content

Author: Admin

Yaqeen jano, mein un qadiyon mein sey hoon

Yaqeen jano, mein un qadiyon mein sey hoon,

Jo khuley darwazey dekh kar farar nahin hotey…

یقین جانو ،میں ان قیدیوں میں سے ہوں

جو کھلے دروازے دیکھ کر فرار نہیں ہوتے

Alfaz ishara kareinge

Alfaz ishara kareinge jane ka

Tum akhein parhna or ruk jana


الفاظ اشارہ کریں گے جانے کا

تم آنکھیں پڑھنا اور رک جانا


Jahan jahan imkan nahin terey aaney ka

Jahan jahan imkan nahin terey aaney ka,

Wahan wahan bhi tera intizar hota hai

جہاں جہاں امکان نہیں تیرے آنے کا

وہاں وہاں بھی تیرا انتظار ہوتا ہے

Apney hisey ki chaal tum chal bethey

Apney hisey ki chaal tum chal bethey,

Humarey muntazir rehna, kahani khatam karni hai

اپنے حصے کی چال تم چل بیٹھے

ہمارے منتظر رہنا ، کہانی ختم کرنی ہے

Chalo tark e taluq mein

Chalo tark e taluq mein ye sukh to paya hum ne

Ab taare nahin ginte ab jaaga nahin karte

khushk paton ki awaz pe darwaze ki taraf

nange paon meri jaan ab bhaga nahin karte


 چلو ترکِ تعلق میں یہ سُکھ  پایا ہم نے

اب تارے نہیں گِنتے اب جاگا نہیں کرتے

خُشک پتوں کی آواز پہ دروازے کی طرف

ننگے پاؤں میری جاں اب بھاگا نہیں کرتے


Magar hum musar the ke

Magar hum musar the ke hum ne kitabein bht parh rakhi hain

Baron ne kaha bhi tha ke dekho miyan!! “tajurba tajurba” hai..


مگر ہم مصر تھے کے ہم نے کتابیں بہت پڑھ رکھی ہیں بڑوں نے کہا بھی تھا دیکھو میاں!! “تجربہ تجربہ” ہے


Magar hum musar the ke

Hum nend key ziada shoqeen to nahin faraz

ہم نیند کے زیادہ شوقین تو نہیں فراز

کچھ خواب نہ دیکھیں تو گزارا نہیں ہوتا

Hum nend key ziada shoqeen to nahin faraz!!

Kuch khuwab na dekhein to guzara nahin hota…