Author: Admin (Page 49 of 63)

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke
مجھ کو پانی میں اترنے کا اشارہ کر کے

Ja chuka chaand samundar se kinaara kar ke
جا چکا چاند سمندر سے کنارہ کر کے

Tajurba aik hi ibrat ke liye kaafi tha
تجربہ ایک ہی عبرت کے لئے کافی تھا

Main ne dekha hi nahin ishq dobaara kar ke
میں نے دیکھا ہی نہیں عشق دوبارہ کر کے


Mujh ko paani mein utarne ka ishaara kar ke

Koi umeed bar nahi oati

Koi umeed bar nahi aati
کوئی امید بر نہیں آتی
Koi soorat nazar nahi aati
کوئی صورت نظر نہیں آتی
Maut ka ek din mu’ayyan hai
موت کا ایک دن معین ہے
Neend kyun raat bhar nahi aati
نیند کیوں رات بھر نہیں آتی
Aage aati thi haale dil pe hansi
آگے آتی تھی حالِ دل پہ ہنسی
Ab kisi baat par nahi aati
اب کسی بات پر نہیں آتی
Jaanta hoon sawab-e-ta’at o zuhd
جانتا ہوں ثوابِ طاعت و زہد
Par tabiyat udhar nahi aati
پر طبیعت ادھر نہیں آتی
Hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
ہے کچھ ایسی ہی بات جو چپ ہوں
Warna kya baat karna nahi aati
ورنہ کیا بات کرنا نہیں آتی
Kyun na cheekhoon ke yaad karte hain
کیوں نہ چیخوں کہ یاد کرتے ہیں
Meri awaaz gar nahi aati
میری آواز گر نہیں آتی
Daagh-e-dil gar nazar nahi aata
داغِ دل گر نظر نہیں آتا
Boo bhi ae chaarah-gar nahi aati
بو بھی اے چارہ گر نہیں آتی
Hum wahan hain jahan se hum ko bhi
ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی
Kuch hamaari khabar nahi aati
کچھ ہماری خبر نہیں آتی
Marte hain aarzu mein marne ki
مرتے ہیں آرزو میں مرنے کی
Maut aati hai par nahi aati
موت آتی ہے پر نہیں آتی
Kaabe kis munh se jaaoge Ghalib
کعبے کس منہ سے جاؤ گے غالب
Sharm tum ko magar nahi aati
شرم تم کو مگر نہیں آتی


Koi umeed bar nahi aati
Koi umeed bar nahi aati

Agar tumhe zindagi ki haqeeqat maloom ho jaye

Agar tumhein zindagi ki haqeeqat maloom ho jaye
اگر تمہیں زندگی کی حقیقت معلوم ہو جائے

To beshak tum koi aur saathi na chuno ge siwaye Allah aur uski mohabbat ke
تو بے شک تم کوئی اور ساتھی نہ چنو گے سوائے الله اور اس کی محبت کے


~Ahman

Agar tumhe zindagi ki haqeeqat maloom ho jaye
Agar tumhe zindagi ki haqeeqat maloom ho jaye

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
تسکین نہ ہو جس سے وہ راز بدل ڈالو
Jo raaz na rakh paaye humraaz badal daalo
جو راز نہ رکھ پائے، ہمراز بدل ڈالو
Tum ne bhi suni ho gi badi aam kahawat hai
تم نے بھی سنی ہو گی بڑی عام کہاوت ہے
Anjaam ka jo ho khatra aaghaz badal daalo
انجام کا جو ہو خطرہ ، آغاز بدل ڈالو
Pursoz dilon ko jo muskaan na de paaye
پُرسوز دِلوں کو جو مسکان نہ دے پائے
Sur hi na mile jis saaz mein woh saaz badal daalo
سُر ہی نہ مِلے جس ساز میں ، وہ ساز بدل ڈالو
Dushman ke iraadon ko hai zaahir agar karna
دشمن کے ارادوں کو ہے ظاہر اگر کرنا
Tum khel wohi khelo andaaz badal daalo
تم کھیل وہی کھیلو ، انداز بدل ڈالو
Ae dost karo himmat kuch door savera hai
اے دوست کرو ہمت، کچھ دُور سویرا ہے
Agar chahte ho manzil to parwaaz badal daalo
اگر چاہتے ہو منزل ، تو پرواز بدل ڈالو


Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo
Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin

Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
راستوں سے کیا گلہ ہے جو منزل یہاں نہیں

Jis paar tha utarna woh saahil yahan nahin
جس پار تھا اترنا وہ ساحل یہاں نہیں

Maana wohi hai sheher wohi bheer bhaar hai
مانا وہی ہے شہر، وہی بھیڑ بھاڑ ہے

Jis ko meri talaash woh mehfil yahan nahin
جس کو میری تلاش، وہ محفل یہاں نہیں

Laazim humein pe kyun hai har ek khwaab dekhna
لازم ہمیں پہ کیوں ہے، ہر اک خواب دیکھنا

Kyun hum kisi ke khwab ka haasil yahan nahin
کیوں ہم کسی کے خواب کا حاصل یہاں نہیں

Mumkin kahan hai aur ki ab justuju karun
ممکن کہاں ہے اور کی اب جستجو کروں

Jab ek nazar ke bhi koi qabil yahan nahin
جب اک نظر کے بھی کوئی قابل یہاں نہیں

Tum aur tumhare baad yeh aasaniyan huein
تم اور تمہارے بعد یہ آسانیاں ہوئیں

Ab aur koi bhi humein mushkil yahan nahin
اب اور کوئی بھی ہمیں مشکل یہاں نہیں

Kaise kahun yeh jhoot ke seene mein dil nahin
کیسے کہوں یہ جھوٹ کہ سینے میں دل نہیں

Yeh bhi hai sach woh pehli si halchal yahan nahin
یہ بھی ہے سچ، وہ پہلی سی ہلچل یہاں نہیں

Neendon ko hum se bichhde zamane guzar gaye
نیندوں کو ہم سے بچھڑے زمانے گزر گئے

Yaadon se aaj kehna woh ghaafil yahan nahin
یادوں سے آج کہنا وہ غافل یہاں نہیں

Jo bhi yahan pe nikla mohabbat ko baantne
جو بھی یہاں پہ نکلا محبت کو بانٹنے

Darya mein phaink aaya ke saail yahan nahin
دریا میں پھینک آیا کہ سائل یہاں نہیں

Abrak uthho chalo kahin dete hain aur jaan
ابرک، اٹھو، چلو کہیں دیتے ہیں اور جاں

To jis ko dhoondhta hai woh qaatil yahan nahin
تو جس کو ڈھونڈتا ہے وہ قاتل یہاں نہیں


Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
Raaston se kya gila hai jo manzil yahan nahin

Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha

Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha
پطرس بخاری کو کالج کا چوکیدار گالیاں دیتا تھا

Lekin woh jawab nahi dete thay
لیکن وہ جواب نہیں دیتے تھے

Ek din saathi professor ne kaha ke chowkidar kehta hai
ایک دن ساتھی پروفیسر نے کہا کہ چوکیدار کہتا ہے

Ke Patras mera kuch nahi bigaarr sakta
کہ پطرس میرا کچھ نہیں بگاڑ سکتا

Patras ne kaha ke woh theek keh raha hai
پطرس نے کہا کہ وہ ٹھیک کہہ رہا ہے

Us ke paas na daulat hai na shohrat aur na hi izzat hai
اس کے پاس نہ دولت ہے، نہ شہرت اور نہ ہی عزت ہے

Main uska kya bigaarr sakta hoon
میں اس کا کیا بگاڑ سکتا ہوں


Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha
Patras Bukhari ko college ka chowkidar gaaliyan deta tha

Rafaqaton mein pashemaniyan to hoti hain

Rafaqaton mein pashemaniyan to hoti hain
رفاقتوں میں پشیمانیاں تو ہوتی ہیں

Ke doston se bhi nadaniyan to hoti hain
کہ دوستوں سے بھی نادانیاں تو ہوتی ہیں

Bas is sabab se ke tujh par bohat bharosa tha
بس اس سبب سے کہ تجھ پر بہت بھروسہ تھا

Gile na hon bhi to hairaniyan to hoti hain
گلے نہ ہوں بھی تو حیرانیاں تو ہوتی ہیں

Udaasiyon ka sabab kya kahein bajuz is ke
اداسیوں کا سبب کیا کہیں بجُز اس کے

Yeh zindagi hai pareshaniyan to hoti hain
یہ زندگی ہے پریشانیاں تو ہوتی ہیں

Faraz bhool chuka hai tere firaaq ke dukh
فراز بھول چکا ہے تیرے فراق کے دکھ

Ke shairon mein bhi tan aasaniyan to hoti hain
کہ شاعروں میں بھی تن آسانیاں تو ہوتی ہیں


– Ahmad Faraz
– احمد فراز

Rafaqaton mein pashemaniyan to hoti hain
Rafaqaton mein pashemaniyan to hoti hain

Hai haqeeqat azaab rehne do

Hai haqeeqat azaab rehne do
ہے حقیقت، عذاب رہنے دو

Toot jaayega khwab rehne do
ٹوٹ جائے گا خواب، رہنے دو

Kab sazaawar hoon inayat ka
کب سزاوار ہوں عنایت کا

Yunhi zair-e-ataab rehne do
یونہی زیرِ عتاب رہنے دو

Tum jala do kitaab-e-hasti ko
تم جلا دو کتابِ ہستی کو

Ek mohabbat ka baab rehne do
اک محبت کا باب رہنے دو

Bekhudi mein sawaal kar baitha
بے خودی میں سوال کر بیٹھا

Chup raho lajawab rehne do
چپ رہو، لاجواب رہنے دو

Ab utaaro zameen pe chaand koi
اب اتارو زمیں پہ چاند کوئی

Ya unhein be-naqaab rehne do
یا انہیں بے نقاب رہنے دو

Log rakhe hain ab nazar hum par
لوگ رکھے ہیں اب نظر ہم پر

Farishto tum hisaab rehne do
فرشتو، تم حساب رہنے دو

Dekh baitha hoon paarsaon ko
دیکھ بیٹھا ہوں پارساؤں کو

Hum ko yunhi kharaab rehne do
ہم کو یونہی خراب رہنے دو

Mar na jaayein kahin sukoon se hum
مر نہ جائیں کہیں سکوں سے ہم

Dil mein kuch izteraab rehne do
دل میں کچھ اضطراب رہنے دو

Dil jigar jaan aap hain Abrak
دل، جگر، جان آپ ہیں ابرک

Sab hain baatein janaab rehne do
سب ہیں باتیں، جناب رہنے دو


Hai haqeeqat azaab rehne do
Hai haqeeqat azaab rehne do

Koi ban gaya raunaq akhiyan di

Koi ban gaya raunaq akhiyan di
کوئی بن گیا رونق اَکھیاں دی
Koi chhadd ke sheesh mahal chaliya
کوئی چھوڑ کے شیش محل چلیا
Koi paliyan naaz te nakhriyan vich
کوئی پلیاں ناز تےِ نخریان وِچ
Koi reet garam te thal chaliya
کوئی ریِت گرم تے تھل چلیا
Koi bhul gaya maqsad aawan da
کوئی بھل گیا مقصد آون دا
Koi karke maqsad hal chaliya
کوئی کرکے مقصد حل چلیا
Ithe har koi (Fareed) musaafir hai
اِتھے ہر کوئی (فرید) مسافر ہے
Koi ajj chaliya koi kal chaliya
کوئی اَج چلیا، کوئی کل چلیا


~Fareed

Koi ban gaya raunaq akhiyan di
Koi ban gaya raunaq akhiyan di

Hum dekhenge

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
لازم ہے کہ ہم بھی دیکھیں گے

Woh din ke jis ka wa’ada hai
وہ دن کہ جس کا وعدہ ہے

Jo loh-e-azal pe likha hai
جو لوحِ ازل پہ لکھا ہے

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaan
جب ظلم و ستم کے کوہِ گراں

Roi ki tarah udd jaayenge
روئی کی طرح اُڑ جائیں گے

Hum mahkoomon ke paaon tale
ہم محکوموں کے پاؤں تلے

Yeh dharti dhar dhar dharkay gi
یہ دھرتی دھڑ دھڑ دھڑکے گی

Aur ahl-e-hukm ke sar upar
اور اہلِ حکم کے سر اوپر

Jab bijli kad kad kadkay gi
جب بجلی کڑ کڑ کڑکے گی

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Jab arz-e-Khuda ke Kaaba se
جب ارضِ خدا کے کعبہ سے

Sab but uthwaaye jaayenge
سب بُت اُٹھوائے جائیں گے

Hum ahl-e-safa mardood-e-haram
ہم اہلِ صفا مردودِ حرم

Masnad par bithaaye jaayenge
مسند پر بٹھائے جائیں گے

Sab taaj uchhaale jaayenge
سب تاج اُچھالے جائیں گے

Sab takht giraaye jaayenge
سب تخت گرائے جائیں گے

Bas naam rahega Allah ka
بس نام رہے گا اللہ کا

Jo ghaib bhi hai haazir bhi
جو غائب بھی ہے، حاضر بھی

Jo manzar bhi hai naazir bhi
جو منظر بھی ہے، ناظر بھی

Uthay ga Inqilab ka naara 
اُٹھے گا انالحق کا نعرہ

Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
جو میں بھی ہوں اور تم بھی ہو

Aur raaj karegi khalq-e-Khuda
اور راج کرے گی خلقِ خدا

Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
جو میں بھی ہوں اور تم بھی ہو

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
لازم ہے کہ ہم بھی دیکھیں گے

Hum dekhenge
ہم دیکھیں گے


Hum dekhen ge
Hum dekhenge

« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑