Ajeeb karb mein guzri jahan jahan guzri
عجیب کرب میں گزری، جہاں جہاں گزری
Agar che chaahne walon ke darmiyan guzri
اگر چہ چاہنے والوں کے درمیاں گزری
Tamam umr jalate rahe charaagh-e-umeed
تمام عمر جلاتے رہے چراغِ امید
Tamam umr umeedon ke darmiyan guzri
تمام عمر امیدوں کے درمیاں گزری
Guzar gayi jo tere saath yaadgaar rahi
گزر گئی جو ترے ساتھ یادگار رہی
Tere baghair jo guzri, wabaal-e-jaan guzri
ترے بغیر جو گزری ، وبالِ جاں گزری
Mujhe sukoon mayassar nahin to kya gham hai
مجھے سکون میّسر نہیں تو کیا غم ہے
Gulon ki umr to kaanton ke darmiyan guzri
گلوں کی عمر تو کانٹوں کے درمیاں گزری
Ajeeb cheez hai Mohsin yeh gardish-e-haalaat
عجیب چیز ہے محسن یہ گردشِ حالات
Kabhi zameen to kabhi misl-e-aasmaan guzri
کبھی زمِیں تو کبھی مثلِ آسماں گزری
-Mohsin Naqvi
Leave a Reply