Skip to content

Log kehte hain ke is khel mein sar jaate hain

لوگ کہتے ہیں کہ اِس کھیل میں سر جاتے ہیں
Log kehte hain ke is khel mein sar jaate hain

عشق میں اِتنا خسارہ ہے تو گھر جاتے ہیں
Ishq mein itna khsara hai to ghar jaate hain


موت کو ہم نے کبھی کُچھ نہیں سمجھا مگر آج
Maut ko hum ne kabhi kuch nahin samjha magar aaj

اپنے بچوں کی طرف دیکھ کے ڈر جاتے ہیں
Apne bachon ki taraf dekh ke dar jaate hain


زندگی ایسے بھی حالات بنا دیتی ہے
Zindagi aisay bhi halaat bana deti hai

لوگ سانسوں کا کفن اوڑھ کے مر جاتے ہیں
Log saanson ka kafan orh ke mar jaate hain


پاؤں میں اب کوئی زنجیر نہیں ڈالتے ہم
Paon mein ab koi zanjeer nahin daalte hum

دل جدھر ٹھیک سمجھتا ہے اُدھر جاتے ہیں
Dil jidhar theek samajhta hai udhar jaate hain


کیا جنوں خیز مسافت تھی ترے کوچے کی
Kya junoon khaiz musaafat thi teray koochay ki

اور اب یوں ہے کہ خاموش گزر جاتے ہیں
Aur ab yun hai ke khaamosh guzar jaate hain


یہ محبت کی علامت تو نہیں ہے کوئی
Yeh mohabbat ki alaamat to nahin hai koi

تیرا چہرہ نظر آتا ہے جِدھر جاتے ہیں
Tera chehra nazar aata hai jidhar jaate hain


– شکیل جمالی (Shakeel Jamali)

Published inPoetry

Be First to Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *