Home » Archives for October 2025 » Page 16
Tehzeeb ki misal gareebon key ghar pey hai, Dopata phata huya hai,par un key sar pey hai..
Saleeqa tum ney pardey ka bara anmol rakha hai, Yahi nighaein qatil hain,our inhein he khol rakha hai…
Gurbat na dey saki merey zameer ko shikast, Jhuk kar kisi ameer sey milta nahin hoon mein…
Kya haal pochtey ho merey karobar ka, Aaeiney bechta hoon,andhon key shehr mein..
Ilahi aabru rakhna,bara nazuk zamana hai, Dilon mein kufr rakhtey hain, bazahir dostana hai…
Kitna dushwaar hai,fitrat ka badalna yusif, Log kaba gaye ,our dil sey burai na gayi…
Wo pesh lafz tha,jis ney rula diya tujhey, Sambhal khud ko, abi daastan baki hai…
Merey shoq ki yahin laaj rakh, Wo jo toor hai bhut door hai…
Muhsin tamasha been hain sarey ye gumsaar, Kijiye na aapney gum ki wazahat kisi sey bhi…
Roz ghunah karta hoon,wo chupata hai apni rehmat sey, Mein majboor apni aadat sey, wo mashoor apni rehmat sey…